Tu jahan jahan chalega mera saya sath hoga

Tu jahan jahan chalega mera saya sath hoga
mera saya mera saya

kabhi mujh ko yad kar ke jo bahenge tere aansu
to waheen pe rok lenge unhen aa ke mere aansu

tu jidhar ka rukh karega mera saya sath hoga
tu agar udas hoga to udas hoongi main bhi

nazar aaun ya na aaun tere pas hoongi main bhi
tu kaheen bhi ja rahega mera saya sath hoga

main agar bichhad bhi jaun kabhi mera gam na karana
mera pyar yad kar ke kabhi aankh nam na karna

tu jo mud ke dekh lega mera saya sath hoga
mera gam raha hai shamil tere dukh men tere gam men

mere pyar ne diya hai tera sath har janam men
tu koi janam bhi lega mera saya sath hoga.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...