Kisi din tujh sey milney ka bahana dhoond laity hain
Chalo kuch saal pehlay ka zamana dhoond laity hain
Andhera kitna hi gehra ho raatain kitni kaali hon
Parindey apna apna aashiyana dhoond laity hain
Kai dar khul jatay hain jo ik dar band hota hai
Hum aisay log apna aab-o-daana dhoond laity hain
Chatain jin k saron se cheen li jati hain wo be-ghar
Kahi’n bhi sir chupanay ka thikana dhoond laity hain
Galay hum se bhi aa lagta hai koi dard ka maara
Kisi dil sokhta ka hum bhi shaana dhoond laity hain
Khuda mehfooz rakhay in ki zid pe hum na aajain
Shikari apney matlab ka nishana dhoond laity hain
Ana ki jang mein akhir bharam qaim bhi rakhna hai
To youn karty hain rasta darmiyana dhoond laity hain.
No comments:
Post a Comment