Chahay Tu Kam Main La Chahay Nikama Kar Day


Chahay Tu Kam Main La Chahay Nikama Kar Day
Main Tera Hoon Teri Marzi Mujhay Jaysa Karday

Main Tera Bemar Hoon Azloon Say Na Mar Jawoon Kahieen
Ek Nazar Dekh Lay Mujh Koo Mujhay Acha Kar Day

Mujh Say Bas Itni He Khuwahish Meray Maleek Ke Hay
Es K Dil Ko Main Lubha Don Mujhay Aysa Karday

Jo Tera Ho Ga Zamanay Say Wo Kat Jaye Ga
Tu To Jis Shaks Ko Chahyee Tanha Kar Day

Ayesa Noor Ayee K Dunia Mera Chehra Dekhay
Tu Jo Perlkoon Ka Meray Chehray Pay Saya Kar Day

Wo Khuda Tujh Say Faqeeroon Ke Tu Sun Layta Hay
Us Say Kehna K Mujhay Ishq Main Ruswa Karday

Mujh Ko Deta Hay Wo Ezat Yeh Karam Hay Uska
Teray Bas Main Ho Agar Tu Mujhay Ruswa Karday.

Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kar Lia Us Ne


Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kar Lia Us Ne
Hamaray Baad Bhi Akhir Guzara Kar Lia Us Ne

Hamara Zikar To Us Ke Labon Par Aa Nahin Sakta
Hamen Ehsas Hy Hum Se Kinara Kar Lia Us Ne

Wo Basti Ghair Ki Basti Wo Koocha Ghair Ka Koocha
Suna Hai Ishq Bhi Ab To Dobara Kar Lia Us Ne

Suna Hai Ghair Ki Bahon Ko Wo Apna Ghar Samajhta Hai
Lagta Hai Mera Ye Dukh Gawara Kar Lia Us Ne

Bhula Kar Pyar Ki Qasmen Wo Waday Tor Kar “Wasi”
Kisi Ko Zindagi Se Bhi Pyara Kar Lia Us Ne.

Tishnagi Aankhoon Ma Aur Darya Khiyalon May Rahey


Tishnagi Aankhoon Ma Aur Darya Khiyalon May Rahey
Ham Nawa Gar Khush Rahey Jaisey Bi Halon May Rahey

Iss Qader Dunya Key Dukh Aae Khoobsooret Zindagi
Jis Tara Titlee Ko Makdi Key Jaloon May Rahey

Ham Sey Kiyon Mangey Hisab-E-Jaan Koyee Jab Umer Bher
Kon Hain Khiya Hain Kahan Hain Inn Sawalon May Rahey

Aik Dunya Ko Meri Diwangi Khush Aa Gayee
Yaar Maktab Ki Kitaboon Key Hawaloon May Rahey

Ishiq May Dunya Gawayee Hey Na Jaan Di Hey Faraz
Phir Bi Ham Ahl-E-Muhabat Ki Misaloon May Rahey.

Jo Meri Ankhon Se Khawab Dekho


Jo Meri Ankhon Se Khawab Dekho
To Ek Bhi Shab Na So Sako Ge

Ke Laakh Chaho Na Hans Sako Ge
Hazar Chaho Na Ro Sako Ge

Ke Khawab Kia Hain Azaab Hain Yeh
Mere Dukhon Ki Kitaab Hain Yeh

Rafaqaten Un Ki Choot-Ti Hain
Mohabbaten Un Ki Rooth-Ti Hain

Panapti Hain Un Main Wehshaten Si
Aziyaten Un Main Phoot-Ti Hain

Inhi Ke Sar Se Khizaan Hain Jazbay
Inhi Se Shaakhen Se Toot-Ti Hain

Ghamon Ki Bandish Main Khawab Mere
Dukhon Ki Barish Main Khawab Mere

Ubal Raha Hai Dukhon Ka Laawa
Zameen Aatish Hain Khawab Mere

Khayal Saaray Jhulas Gaye Hain
Sulagti Khawahish Hain Khawab Mere

Ukharti Saansen Hain Zindagi Ki
Lahu Ki Saazish Hain Khawab Mere

Jo Meri Ankhon Se Khawab Dekho
To Ik Shab Bhi Na So Sako Ge.

Ishq Mujh Ko Nahi Weshat He Sahi



Ishq Mujh Ko Nahi Weshat He Sahi
Meri Wehshat Teri Shohrat He Sahi

Qatta Kijiye Na Taluq Hum Se
Kuch Nhi Hai Tou Adwat He Sahi

Mery Honay Mein Hai Kya Ruswaie
Ay Wo Majlis Nhi Khalwat He Sahi

Apni Zaat He Se Ho Jo Kuch Bhi Ho
Agahi Gr Nhi Ghaflat He Sahi

Hum Bhi Tou Dhsman Nhi Hain Apny
Gair Ko Tujh Se Mohbt He Sahi

Hum Koi Tark-E-Wafa Krty Hain
Gar Nhi Ishaq Musibat He Sahi

Kuch To Dy Ay Malik-E-Na'Insaaf
Aah-O-Faryaad Ki Rukhsat He Sahi

Hum Bhi Tasleem Ki Khu Dalain Gy
Be'Niyazi Teri Adat He Sahi

Yaar Se Chhair Chali Jaye "Mansoor"
Gar Nhi Wasal Tou Husrat He Sahi.

Hijar Ka Tara Doob Chala Hey Dhalney Lagi Hey Rat Wassi


Hijar Ka Tara Doob Chala Hey Dhalney Lagi Hey Rat Wassi
Qatra Qatra Barse Rahi Hey Ashkon Ki Barsat Wasi

Tere Baad Ye Dunia Waly Mujh Ko Pagal Kar Dein Gey
Khushbo Key Deis Mein Mujhko Le Chal Apny Sath Wassi

Yun He Chup Ki Mohar Laga Ker Kab Tak Gum Sum Bethy Gy
Khamoshi Se Dam Ghut'ta Hey Chero Koi Baat Wassi

Aj To Uska Chehra Bhi Kuch Badla Badla Lagta Hey
Mosam Badla Dunia Badli Badal Gaye Halat Wassi

Mere Ghar Mein Khsushbo Ka Rakas Usi Ke Dam Se Hey
Uskey Sath Chali Jaye Gi Phoolo Ki Ye Barat Wassi

Chor Wassi Ab Uski Yadein Tujhko Pagal Kar Dein Gi
Tu Qatra Hey Wo Darya Dekh Apni Okat Wassi.

Dil Main Ik Laher Si Uthi Hai Abhi


Dil Main Ik Laher Si Uthi Hai Abhi
Koi Taza Hawa Chali Hai Abhi

Shor Barpa Hai Khana-E-Dil Main
Koi Diwar Si Giri Hai Abhi

Kuch To Nazuk Mizaj Hain Ham Bhi
Aur Ye *** Bhi Nai Hai Abhi

Bhari Duniya Main Ji Nahi Lagta
Jane Kis Chiz Ki Kami Hai Abhi

Tu Sharik-E-Sukhan Nahi Hai To Kya
Ham-Sukhan Teri Khamoshi Hai Abhi

Yad K Be-Nishan Jaziron Se
Teri Awaz A Rahi Hai Abhi

Shahar K Becharag Galiyon Main
Zindagi Tujh Ko Dhundti Hai Abhi

So Gaye Log Us Haweli K
Ek Khirki Magar Khuli Hai Abhi

Tum To Yaro Abhi Se Uth Baithe
Shahar Main Rat Jagti Hai Abhi

Waqt Acha Bhi Ayega 'MANSOOR'
Gam Na Kar Zindagi Pari Hai Abhi.

Maskan-E-Maah-O-Saal Chhor Gayaa


Maskan-E-Maah-O-Saal Chhor Gayaa
Dil Ko Us Kaa Khayaal Chhor Gayaa

Taazah-Dam Jism-O-Jaan The Furqat Main
Wasl Us Kaa Nidhaal Chhor Gayaa

Ahd-E-Maazii Jo Thaa Ajab Purhaal
Aik Viraan Haal Chhor Gayaa

Zaala-Baari Ke Marhalon Kaa Safar
Qaafila Paayemaal Chhor Gayaa

Dil Ko Ab Ye Bhi Yaad Ho K Na Ho
Kaun Thaa  Kyaa Malaal Chhor Gayaa

Main Bhi Ab Khud Sy Hun Jawab-Talab
Wo Mujhe By-Sawaal Chhor Gayaa.

Mager Phir B Anna Teri


Chalo Phir Shart Lag Jaye
Main Sabit Aj Ker Dun Ge

K Tum Ne Dil Lagi Ki Hai
Mohabbat Naam Ki Hai

Sun Ker Us Ki Baton Ko
Mein Bola Sada Dil Lerki

Ager Mein Dil Lagi Kerta
To Jeenay Se Na Yun Darta

Muhabbat Naam Ki Kerta
To Wafayein Aam C Kerta

Mager Phir B Anna Teri
Teri Berukhi Ki Khatir Ye Kehta Hun

Haan Meine Dil Lagi Ki The
Tujhe Apna Hi Samjha Tha

Tujhe Dil Se Lagaya Tha
Jahan Na Koi Gham Puhnchay

Wahan Tujhe Ko Chupaya Tha
Mager Jaan Yekeen Jano

Tumhary Hoslay Ki Mein Daaad Deta Hun
K Kitni Berukhi Se Tum Ne Keh Dala

CHALO PHIR SHART LAG JAYE
K MEINE DIL LAGI KI HAI.

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae


Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae

Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Myrey Dost Ki Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae

Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae.

Sabz Madham Roshni Mein Surkh Anchal Ki Dhanak


Sabz Madham Roshni Mein Surkh Anchal Ki Dhanak
Sard Kamare Mein Machlti Garm Sanson Ki Mahak

Bazuon Ke Sakht Halqe Mein Koi Nazuk Badan
Silvatein Malbuus Par Anchal Bhi Kuch Dhlka Hua

Garmi-E-Rukhsaar Se Dahaki Hui Thandi Hava
Narm Zulfon Se Mulayam Ungliyon Ki Cher-Chaar

Surkh Honthon Par Shararat Ke Kisi Lamhen Ka Aks
Reshmi Bahon Mein Churi Ki Kabhi Madham Dhanak

Sharmagin Lahajon Mein Dhire Se Kabhi Chahat Ki Bat
Do Dilon Ki Dharkanon Mein Gunjti Thi Ek Sada

Kanpate Honthon Pe Thi Allah Se Sirf Ek Dua
Kash Ye Lamhe Thahar Jaayein Thahar Jaayein Zara.

Thaki Thaki Si Nigah Dil Bojhal Hua


Thaki Thaki Si Nigah Dil Bojhal Hua
Main Teri Yaad Main Kitna Bay Kal Hua

Na Raha Hosh Apna Teri Talash Main
Der Der Bhatakta Phira Main Pagal Hua

Jeetey Jeetey Sanum Teri Yaad Ka Mausam
Derd Say Dariya Phir Situm Badal Hua

Bikhri Meri Hasti Ko Sameyta Tu Nay
Teri Chahat Kay Sabab Main Mukamal Hua

Kehney Walay Keh Chukkay Aks-E-Sehra Mujhay
Jo Tera Saath Paya Shokh-O-Chanchal Hua

Chah Kay Tujhay Ghum Ka Siyaah Badal
Ab Kiyoun Meri Nazar Ka Kajal Hua

Wo Aber Der Haqeeqat Mausam-E-Milan Tha
Jis Say Kay Sara Aalam Jal Thal Hua

Ik Ehsas-E-Bay Basi Dherkanoon Main Shaiki
Ik Derd Ka Gumaan Pal Pal Hua.

Lab-E-Khamosh Se Izhaar-E-Tamanna Chahe


Lab-E-Khamosh Se Izhaar-E-Tamanna Chahe
Baat Karane Ko Bhi Tasvir Ka Lahaja Chahe

Tu Chale Sath To Ahat Bhi Na Aye Apni
Daramiyaan Ham Bhi Na Ho Yun Tujhe Tanha Chahe

Zahiri Ankhon Se Kya Dekh Sakega Koi
Apne Baaton Pe Bhi Ham Faash Hona Chaahe

Jism-Poshi Ko Mile Chadar-E-Aflak Hamein
Sar Chupane Ke Liye Vusaat -E-Sehara Chahe

Khvaab Mein Roye To Ehasas Ho Sairabi Ka
Ret Par Soyein Magar Ankh Mein Dariya Chahe

Bhed Carh Jaun Na Main Apne Hi Khair-O-Shar Ki
Khon-E-Dil Zabt Kare Zakhm Tamasha Chahe

Zindagi Ankh Se Ojhal Ho Magar Khatm Na Ho
Ek Jahan Aur Pas-E-Parda-E-Duniya Chahe

Aj Ka Din To Chalo Kat Hi Gaya Jaise Bhi Kataa
Ab Khuda-Band Se Khairiyat-E-Farda Chahe

Aise Tairaak Bhi Dekhe Hain Muzaffar Hamne
Garq Hone Ke Liye Bhi Jo Sahara Chahe.

Chori Se Woh Chupke Se Aankhon Mein Samaaya Hai


Chori Se Woh Chupke Se Aankhon Mein Samaaya Hai
Khwabon Mein Bhi Aa Aa Kar Neendon Ko Churaya Hai

Aangan Mein Yeh Khushbu Ka Jhonka Sa Jo Aaya Hai
Woh Aane Hi Wala Hai Mausam Ne Bataya Hai

Tasveer Bani Baithi Suntii Hi Chali Jaoon
Us Shokh Ki Baaton Ne Jaadoo Sa Jagaya Hai

Khamosh They Ham Phir Bhi Kuchh Shor Huaa Aisaa
Dil Mein Tiri Yaadon Ne Ik Hashr Uthaya Hai

Lo Aaj Isharon Mein Woh Keh Hi GayaAakhir
Main Ne Bhi Tujhe Apne Sapnon Mein Sajaaya Hai

Raston Ko Gulon Se To Sab Log Sajaate Hen
Hum Ne Teri Raahon Mein Dil Apna Bichhaaya Hai.

Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qaraar Tha Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho


Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qaraar Tha Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho
Wohi Yaani Waada Nibaah Kaa Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho

Woh Jo Lutf Mujh Pe The Beshtar Wok Karam Ke Tha Mere Haal Par
Mujhe Sab Hai Yaad Zaraa Zaraa Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho

Woh Naye Gile Woh Shikaayatei Woh Maze Maze Ki Hiqaayatei
Woh Har Ek Baat Par Roothnaa Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho

Kabhi Hum Mein Tum Mein Bhi Chah Thi Kabhi Hum Se Tum Se Bhi Raah Thi
Kabhi Hum Bhi Tum Se The Ashana Tumhei Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho

Jise Aap Kehate The Baavafaa Jise Aap Ginate The Ashana
Main Wahi huu momin-e-mubatala Tumhei Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho.

Zameen Pe Chal Na Saka Aasman Say Bhi Gaya


Zameen Pe Chal Na Saka Aasman Say Bhi Gaya
Kata K Par Ko Parinda Uaraan Say Bhi Gaya

Tabah Kar Gai Pakkay Makan Ki Khwahish
Main Apnay Gauon K Kachay Makan Say Bhi Gaya

Parai Aag Main Kood Kar Kiya Mila Tujhko
Usay Bacha Na Saka Apni Jaan Say Bhi Gaya

Bhulana Chaha To Bhulanay Ki Inteha Kardi
Wo Shaks Ab Mere Wehmon Guman Say Bhi Gaya

Kisi K Haath Ka Nikla Howa Wo Teer Hon Main
Hadaf Ko Choo Na Saka Our Kamaan Say Bhi Gaya.

Sab-Se Chupa Kar Dard Jo Who Muskura Diya


Sab-Se Chupa Kar Dard Jo Who Muskura Diya
Us Ki Hansi NE To Aaj Mujhe Rula Diya

Lehje Se Uth Raha Tha Har I Dard Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha K Kuch Ganwa Diya

Aawaz Mein Thayrao Tha Aankhoon Mein Nami Thi
Or Keh Raha Tha K Mein NE Sab Kuch Bhula Diya

Jane Kya Us Ko Loghon Se Thi Shikayatein
Tanhaiyon Ke Dais Mein Khud Ko Basa Diya

Khud Bhi Who Hum Se Bichar Kar Adhura As Ho Gaya
Mujh Ko Bhi Itne Loghon Mein Tanha Bana Diya.

Be-Rukhi Tu Nay Bhi Ki Uzzar-e-Tamanna Karke


Be-Rukhi Tu Nay Bhi Ki Uzzar-e-Tamanna Karke
Hum Bhi Mehfil Say Uth Aaye Hain Bahana Karke

Kitni Baatain Thi Jo Na Kehni Thi Keh Bheji Hain
Ab Pashemaan Hain Qaasid Ko Rawana Karke

Kya Kahain Kya Hai Un Aankhon Mein Kay Rakh Deti Hain
Aik Achay Bhalay Insaan Ko Deewana Kar ke

Koi Weerana-e-Hasti Ki Khabar Kya Leyta
Khud Bhi Hum Bhool Gaye Dafan Khazana Karke

Woh Agar Aankhon Mein Rehta To Hum Bhi Khush Rehtay
Usnay Kya Zulm Kiya Dil Mein Thikaanaa Karke.



Khuli Aankh Mein Sapna Jhaankta Hai


Khuli Aankh Mein Sapna Jhaankta Hai
Wo Soya Hai Ke Kuch Kuch Jaagta Hai

Teri Chahat Ke Bheege Junglon Mein
Mera Tan More Ban Kar Naachta Hai

Mujhe Har Kaifiyat Mein Kyun Na Samjhe
Wo Mere Sab Hawale Jaanta Hai

Main Uski Dastaras Mein Hon Magar Wo
Mujhe Meri Raza Se Maangta Hai

Kisi Ke Dhyaan Mein Dooba Hua Dil
Bahane Se Mujhe Bhi Taalta Hai.

Tujhay Ishq Ho Khuda Karay Tujhay Us Say Koi Juda Karay


Tujhay Ishq Ho Khuda Karay Tujhay Us Say Koi Juda Karay
Taire Hoont Hansna Bhool Jaain Taire Aankh Pur-Num Raha Karay

To Us Ki Baatain Kya Karay To Us Ki Baatain Suna Karay
Usay Daikh Kar To Ruk Jae Wo Nazar Jhuka Kar Mila Karay

Tujhay Dosti Bhi Na Raas Aae To Tanha Tanha Phira Karay
Tujhay Hijar Ki Wo Jhari Lagay To Milan Ki Har Pal Dua Karay

Taire Khuwaab Bikhrain Toot Kar To Kirchi Kirchi Chuna Karay
To Gali Gali Sada Karay To Nagar Nagar Phira Karay

Tujhay Ishq Per Phir Yaqeen Ho Usay Tasbiyoon Per Gina Karay
Phir Main Kahoon Ishq Dhoong Hai To Nahi Nahi Kya Karay.

Naseeb Aazamaane Ke Din Aa Rahe Hain


Naseeb Aazamaane Ke Din Aa Rahe Hain
Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain

Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai
Sab Un Ko Suna Ne Ke Din Aa Rahe Hain

Abhi Se Dil-o-Jaan Sar-e-Raah Rakh Do
Ke Lutane Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain

Tapakane Lagi Un Nigaahon Se Masti
Nigaahen Churaane Ke Din Aa Rahe Hain

Sabaa Phir Hume Puchati Phir Rahi Hai
chaman Ko Sajaane Ke Din Aa Rahe Hain

Chalo Phir Se Kahin Dil Lagaayen
Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain.

Mohabbat Ka Asar Hoga Galat Fehmi Main Mat Rehna


Mohabbat Ka Asar Hoga Galat Fehmi Main Mat Rehna
Woh Badle Ga Chalen Apni Galat Fehmi Main Mat Rehna

Tasalli Bhi Usse Dena Yahe Mumkin Hai Ke Main Lot Aaon
Magar Yhe Bhi Usse Kehna Galat Fehmi Main Mat Rehna

Tumhara Tha Tumhara Hon Tumhara Hi Rahonga Main
Mere Bare Main Is Darja Galat Fehmi Main Mat Rehna

Mohabbat Ka Bharam Toota Hai Ab Chup Chup Ke Rote Ho
Tumhen Maine Kaha Tha Na Galat Fehmi Main Mat Rehna.

Bila Jawaz Rakhen Khud Ko Beqaraar Bhi Kiun


Bila Jawaz Rakhen Khud Ko Beqaraar Bhi Kiun
Jo Tu Nahee Hai To Phir Tera Intezaar Bhi Kiun

Akelepan Ka Safar Jab Mera Muqaddar Hai
To Phir Ai Waada Shikan Teri Rehguzaar Bhi Kiun

Usey Ganwa Ke Raho Ab Khizaon Ki Zad Mai
Jo Wo Nahee Hai To Phir Mausam-E-Bahar Bhi Kiun

Agar Bhulaye Huye Usko Aik Umr Hui
To Phir Yeh Aaj Tabiyet Hai Sogwaar Bhi Kiun

Wo Jin Labon Pe Yaqeene Wafa Mehek Na Sakey
Phir Unke Lams Ki Khahish Ho Aik Baar Bhi Kiun

Jab Usko Shauq Tha Raston Ki Dhool Honey Ka
Palat Ke Dekhta Jaata Tha Baar Baar Bhi Kiun.

Woh Shaks Is Qadar Kabhi Mujh Se Khafa Na Tha


Woh Shaks Is Qadar Kabhi Mujh Se Khafa Na Tha
Yeh Dil Bhi Is Qadar Kabhi Pareshan Raha Na Tha

Umar Daraaz Iski Ebadat Main Kat Gaie
Yeh Aur Baat Hai Woh Zalim Khuda Na Tha

Is K Siwa Kisi Se Muhabat Na Thi Mujhe
Wohi Tha Shaher Dil Main Koi Dosra Na Tha

Kiya Kuch Na Tha Mere Liye Woh Mera Humsafar
Bas Ek Hi Kami Thi Ke Dard Aashnaa Na Tha

"Kaif" Humare Bad Woh Kehte Sune Gaye
Kaifi Bura Zaroor Tha Par Itna Bura Na Tha.

Ye Aankh Rony Ki Shiddat Se Laal Thori Hai


Ye Aankh Rony Ki Shiddat Se Laal Thori Hai
Malal Hai Mgar Itna Malal Thori Hai

Bas Apnay Wassty He Fikar Mand Hain Sab Log
Yahan Kisi Ko Kisi Ka Khayal Thori Hai

Paron Ko Kaat Dia Hai Uraan Se Pehlay
Ye Khauf-E-Hijr Hai Shoaq-E-Wisaal Thori Hai

Maza To Jab Hai K Haar K B Hansty Raho
Hamesha Jeet Hi Jana Kamaal Thori Hai

Lagana Parti Hy Dubki Ubharne Se Pehly
Gharoob Honay Ka Matlab Zawaal Thorri Hai.

Kisi Ki Ankh Jo Purnam Nahi Hai


Kisi Ki Ankh Jo Purnam Nahi Hai
Na Samajho Ye Ke Us Ko Gam Nahi Hai

Savad-E-Dard Main Tanha Khara Hun
Palat Jaun Magar Mausam Nahi Hai

Samajh Main Kuch Nahi Ata Kisi K
Agarche Guftagu Mubham Nahi Hai

Sulagta Kyun Nahi Tarik Jangal
Talab Ki Lau Agar Maddham Nahi Hai

Ye Basti Hai Sitam Parvar Digan Ki
Yaha Koi Kisi Se Kam Nahi Hai

Kinara Dusara Dariya Ka Jaise
Vo Sathi Hai Magar Mahram Nahi Hai

Dilon Ki Raushani Bujhne Na Dena
Vajud-E-Tiragi Mahkam Nahi Hai

Main Tum Ko Chah Kar Pachta Raha Hun
Koi Is Zakhm Ka Marham Nahi Hai

Jo Koi Sun Sake ‘Mansoor’ To Suna Dena
Ba-Juz Ek Baz Gasht-E-Gam Nahi Hai.

Sirf Main He Thaam Sakun Haath Uska


Sirf  Main He Thaam Sakun Haath Uska
Mujh Par Itni Inayat Si Kardey

Woh Rehnaa Payee Aik Pal Bhi Meray Bina
Ae Khuda Tu Usko Meri Aadat Si Kardey

Itna Toot K Chaahun Main Usko
K Meri Chahat Ko Uski Ibadat Si Kardey

Koi Choo Na Paye Apnay Khayalaat Mein Bhi Usko
Her Aik K Zehan Main Uski Hifazat Si Kardey

Band Aankh Main Bhi Dekh Paaon Usko
Meri Nazar Ko Aisi Ijaazat Si Kardey

Rakhunga Khayaal Uska Umr Bhar K Liye
Apnay Aap Ko Woh Meri Amaanat Si Kardey.

Tum Asl Ho Ya Khowab Ho Tum Kon Ho


Tum Asl Ho Ya Khowab Ho Tum Kon Ho
Tum Meher Ho Mahtaab Ho Tum Kon Ho

Jo Aankh Bhi Dekhe Tumhen Sarsabz Ho
Tum Is Qadar Shadaab Ho Tum Kon Ho

Tum Lab Ba Lab Tum Dil Ba Dil Tum Jaan Ba Jaan
Ik Nasha Ho Ik Khowab Ho Tum Kon Ho

Jo Dast E Rehmat Ne Mere Dil Par Likha
Tum Ishq Ka Wo Baab Ho Tum Kon Ho

Main Har Ghari Ik Pyaas Ka Sehraa Naya
Tum Taaza Tar Ik Aab Ho Tum Kon Ho

Main To Abhi Barsaa Nahi Do Boond Bhi
Tum Rooh Tak Seraab Ho Tum Kon Ho

Ye Mosam E Kumyaabi E Gul Kal Bhi Tha
Tum Aaj Bhi Nayaab Ho Tum Kon Ho.

Kitne Itminaan Se Woh Thukra Gaye Mujhe


Kitne Itminaan Se Woh Thukra Gaye Mujhe
Aansoo Bana Ke Aankh Se Tapka Gaye Mujhe

Kaisi Yeh Rehbari Thi Yeh Kaisa Fareb Tha
Manzil Dikha Ke Raah Se Bhatka Gaye Mujhe

Khamosh Nigahon Se Kahani Suna Gaye
Lafzon Ke Har Phair Mein Atka Gaya Mujhe

Mujh Ko Bhi Bachpan Ka Sa Ek Mazaq Samaj Ke
Chhoti Si Ek Hansi Mein Uraa Gaya Mujhe

Do Din Mein Uss Ke Dil Se Mohabat Utar Gayi
Aur Do Hi Din Mein Yaad Se Mita Gaye Mujhe.

Yun Na Mil Mujhse Khafa Hou Jaisay


Yun Na Mil Mujhse Khafa Hou Jaisay
Sath ChaL Mauj-e-Saba Hou Jaisay

Laug Yun Dekh Kar Hans Detay Hain
Tu Mujhay BhooL Gayee Hou Jaisay

Ishq Ko ShirK Ki Hudh Tak Na Bharha
Yun Na MiL Hum Se KHUDA Hou Jaisay

MauT Bhi Aaye Tu Es NaaZ Ke Sath
Mujh Pe Ehsaan Kya Hou Jaisay

Aisay AnjaaN Banay Bethay Hou
TumKo Kuch Bhi Na PaTa Hou Jaisay

HichKiyaan RaaT Ko AaTi Hi RaheiN
TuM Ne Phir YaaD Kya Hou Jaisay

ZindaGi BheeT Rahi Hai Aisay
Ek BaeJurM SaZa Hou Jaisay.

Rah-e-Wafa Mein Aziyat Shanasayan Na Gayen


Rah-e-Wafa Mein Aziyat Shanasayan Na Gayen
Kisi Bhi Ruth Mein Hamari Udasiyan Na Gayen

Tanni hay Abar Ki Chader Bhi Aasman Pey Magar
Shoa-e-Maher Teri Be-Libasiyan Na Gayen

Teray Qareeb Bhi Reh Kar Tuje Talash karon
Muhabatoon Mein Meri Bad-hawasiyan Na Gayen

Khuda Khaber Kahan Koonjo Kay Kafilay Uthrey
Samander Ki Taraf Bhi Toa Piyasiyan na Gayen

Khizaan Mein Bhi Toa Mehakti Ghazal Pehan Kay Mila
Mizaaj-e-Yaar Teri Khush Libasiyan Na Gayen

Basant Ruth Mein Bhi Mander Udaas Thay Mohsin
Kay Dewatoon Say Milnay Ko Dasiyaan Na Gayen.

Aise Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunia


Aise Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunia
Mar Jaye Tu Jenay Ki Dua Deti Hai Dunia

Hum Kon Say Momen Thay Jo Ilzam Na Sehtay
Pather Ko Bhagwan Bana Deti Hai Dunia

Ye Zakham Mohabbat Ka Hai Dekhnana Na Kisi Ko
La Kar Saray Bazar Saja Deti Hai Dunia

Qismat Per Karo Naz Na Itna Bhi Faqeero
Haton Ki Lakeeron Ko Mita Deti Hai Dunia

Marnay Kay Liye Majboor Tu Karti Hai Ye Lekin
Jeenay Kay Tareeqay Bhi Sekha Deti Hai Dunia.

Dasht-E-Dariya Kay Yeh Uss Paar Kahan Tak Jaati


Dasht-E-Dariya Kay Yeh Uss Paar Kahan Tak Jaati
Ghar Ki Deewar Thi Deewar Kahaan Ta Jati

Mitt Gaee Hasrat-E-Deedar Bhi Rafta Rafta
Hijr Main Hasrat-E-Deedar Kahaan Tak Jati

Thak Gaye Hoont Tera Naam Bhi Laitay Laitay
Aik Hi Lafz Ki Takraar Kahaan Tak Jaati

Tau Bohot Door Bohot Door Geya Tha Mujh Say
Meri Awaaz Meray Yaar Kahaan Tak Jaati

Har Taraf Husn Kay Bazaar Lagay Thay MOHSIN
Meri Chashm-E-Kharidaar Kahaan Tak Jaati.

Nafrat Ki Dhoop Mein Barsat Se Pehle


Nafrat Ki Dhoop Mein Barsat Se Pehle
Halat Na The Aise Us Mulaqat Se Pehle

Har Kisi Ko Hamdard Samajh Lete The
Ham B Kitne Saadah The Muhabbat K Tajurabat Se Prhle

Ye Barish Ye Hawa Ye Dhanak Ye Mousam
Kis Kis Se Muhabbat Thi Us Zaat Se Pehle

Bikhray To Bus Aise Toot K Bikhray
Log Dete The Misal Hamari Hadsat Se Pehle

Tu Ye Na Samajh Us Se Ulfat Gaye Dinon Ki Bat Thi
Hum Aaj Bhi Sochte Han Use Apni Zaat Se Pehley.

Karb Chehre Se Maah O Saal Ka Dhoya Jaaye


Karb Chehre Se Maah O Saal Ka Dhoya Jaaye
Aaj Fursat Se Kahiin Beth Ke Roya Jaaye

Phir Kisi Nazm Ki Tamhiid Uthaai Jaaye
Phir Kisi Jism Ko Lafzoon Mein Samoya Jaaye

Kuch To Ho Raat Ki Sarhad Pe Uterne Ki Saza
Garm Sooraj Ko Samander Mein Daboya Jaaye

Itni Jaldi Tu Badalte Nahin Honge Chehre
Gard Aalood Hai Aaine Ko Dhoya Jaaye

Mout Se Khouf Zada Jeene Se Bezaar Hain Loog
Iss Almiyee Pe Hansaa Jaaye Ke Roya Jaaye.

Shayad Abhi Hai Rakh Main Koi Sharar Bhi


Shayad Abhi Hai Rakh Main Koi Sharar Bhi
Kyon Varna Intazar Bhi Hai Iztirar Bhi

Dhyan A Gaya Hai Marg-E-Dil-E-Namurad Ka
Milane Ko Mil Gaya Hai Sukun Bhi Qarar Bhi

Ab Dhundhane Chale Ho Musafar Ko Dosto
Hadd-E-Nigah Tak Na Raha Jab Gubar Bhi

Har Astan Pe Nasiyafarsa Hain Aj Vo
Jo Kal Na Kar Sake The Tera Intazar Bhi

Ik Rah Ruk Gai To Thithak Kyon Gai ‘Ada’
Abad Bastiyan Hain Paharon Ke Par Bhe.





Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila


Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila

Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila

Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila

Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila

Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila

Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia
Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila.

Chehray Parhta Hoon Ankhain Likhta Rehta Hoon


Chehray Parhta Hoon Ankhain Likhta Rehta Hoon
Main Bhi Kaisi Batain Likhta Rehta Hoon

Saray Jism Darakhton Jaisay Lagtay Hain
Or Banhon Ko Shakhain Likhta Rehta Hoon

Tujh Ko Khat Likhnay K Tewar Badal Gye
Aarhi Tirchi Satrain Likhta Rehta Hoon

Teray Hijr Mein Or Mujhay Kia Karna Hai
Teray Naam Kitabain Likhta Rehta Hoon

Tujh Say Mil Kar Saray Dukh Dohraaoon Ga
Hijr Ki Sari Batain Likhta Rehta Hoon

Sookhay Phool Kitabain Zakhm Judai K
Teri Sub Soghatain Likhta Rehta Hoon.





Tumhain Ik Bat Kehni Hai Magar Naraz Mat Hona


Tumhain Ik Bat Kehni Hai
Magar Naraz Mat Hona

K Tum Jo Har Ghari Mujhko
Itna Yaad Atay Ho

Hamain Itna Satate Ho
K Hum Tum Dur Hain Dono

Bohat Majbur Hain Dono
Na Itna Yaad Ao Tum

Na Youn Itna Satao Tum
K Itna Yaad Aa Kar Yun

Hamain Pagal Bana K Tum
Faqat Itna Bata Do K

Hamari JAAN Lo Gay Kya
Magar Ye Bhi Haqeeqat Hai

Tumhari YAAD Hi To Hai
Jo Har Pal Sath Rehti Hai

Khushi Main Bhi Ghamon Main Bhi
Udasi K Palon Main Bhi

Tumhari YAAD Hi To Hai
Jo Har Pal Ye Batati Hai

Mujhe Ehsas Dilati Hai K
HUM TUM BIN ADHURE Hain.

Khawab Toot Jatay Hain Bheer Main Zamanay Ki Hath Choot Jatay Hain


Khawab Toot Jatay Hain
Bheer Main Zamanay Ki Hath Choot Jatay Hain

Dostdar Lehjay Main Silwatain Si Parti Hain
Ek Zara Si Ranjish Say

Shak Ki Zard Tehni Pay Phool Badgumani K
Is Tarhan Say Khiltay Hain

Zindagi Say Pyaaray Bhi
Ajnabi Say Lagtay hain

Ghair Ban K Miltay Hain
Umar Bhar Ki Chahat Ko Asra Nahin Milta

Khamoshi K Waqfon Main
Baat Toot Jati Hai

Aur Sira Nahin Milta
Ma'zirat K Lafzon Ki Roshni Nahin Milti

Lazzat Pazeerai Ki Phir Kabhi Nahin Milti
Phool Rang Wadoon Ki Manzilain Sukartin Hain

Rah Murnay Lagti Hai
Berukhi K Gherai Say Bedili Ki Mitti Say

Faslon Ki Eenton Say Eent Jurnay Lagti Hai
Wehmon K Sai Say

Umar Bhar Ki Mehnat Ko Pal Main Loot Jatay Hain
Ek Zara Si Ranjish Say Sath Choot Jatay Hain

Bheer Main Zamanay Ki Hath Choot Jatay Hain
Khawab Toot Jatay Hain
Khawab Toot Jatay Hain.

Hansne Nahi Deta Rone Nahi Deta


Hansne Nahi Deta Rone Nahi Deta
Yeh Dil To Koi Kaam Bhi Hone Nahi Deta

Tum Maang Rahe Ho Mere Dil Se Meri Khwahish
Bacha To Kabhi Apne Khilonay Nahi Deta

Main Khud He Uthata Hon Shab-o-Roz Ki Zillat
Yeh Bojh Kisi Or Ko Dhoney Nahi Deta

Kehta To Bohat Hai K Khala Hai Mere Andar
Lekin Woh Kahin Hum Ko Sumonay Nahi Deta

Woh Kon Hai Us Se To Main Waqif Bhi Nahi Hon
Jo Mujh Ko Kisi Or Ka Hone Nahi Deta.

Bandh Lein Hath Pe Senay Pe Saja Lein Tumko


Bandh Lein Hath Pe Senay Pe Saja Lein Tumko
Jee Mein Ata Hai K Taweez Bana Lein Tumko

Phir Tumhein Roz Sanwarein Tume Bharta Dekhein
Kyun Na Angan Mein Chanbeli Sa Laga Lein Tumko

Jaise Baghon Mein Koi Phool Chuna Karta Hai
Ghar K Guldan Mein Phoolon Sa Saja Lein Tumko

Kya Ajab Khuwaishain Uthti Hain Hamare Dil Mein
Kar K Munna Sa Hawaon Mein Uchalein Tum Ko

Is Qadar Toot K Tum Pe Hamain Pyaar Ata Hai
Apni Behnon Mein Bharein Mar Hi Dalein Tumko

Hai Tumare Liye Kuch Aisi Aqeedat Dil Ma
Apne Hathon Mein Duaon Sa Utha Lein Tumko

Jan Denay Ki Ijazat Bhi Nahi Detay Ho
Warna Mar Jyein Abhi Mar K Mana Lein Tumko

Ab To Bas Ek Hi Khuwaish Hai Kissi Mor Pe Tum
Hum KO Bikhray Huay Mil Jao Shanbalein Tum Ko.





Wo Jo Mehv Thay Sare Aina Pas E Aina Bhi To Dekhte


Wo Jo Mehv Thay Sare Aina  Pas E Aina Bhi To Dekhte
Kabi Roshni Myn Wo Tergi Ko Chupa Hua B To Dekhte

Sar E Aab Jo Raha Tashna Lab To Ye Zabt E Gham Ki Hay Inteha
Mere Hal Pay Thay Jo Nukta Cheen Mera Hosla Bi To Dekhte

Jinhayn Muj Say Hy Ye Gila K Myn Raha Be Nayaz E Khuloos O Rabt
Mere Gird Rasm O Rawaj Ka Kabi Dayera Bi To Dekhte

Wo Meri Hansi Say Hayn Khush Guman K Nishat E Zeest Hay Mudaaa
Mery Ashq E Gham Ka Wo Ruka Hua Kabi Qafila Bi To Dekhtejaun Elia.

Yeh Kaamyabiyan Izzat Yeh Naam Tum Se Hai


Yeh Kaamyabiyan Izzat Yeh Naam Tum Se Hai
Khuda Ne Jo Bhi Diya Hai Maqam Tum Se Hai

Tumhare Dam Se Hain Mere Lahoo Mai Khilte Gulaab
Mere Wujood Ka Saara Nizam Tum Se Hai

Kahan Bisaat-E-Jahan Aur Mai Kamsin Aur Nadaan
Yeh Meri Jeet Ka Sab Ahtemam Tum Se Hai

Jahan Jahan Hai Meri Dushmani Sabab Mai Hoon
Yeh Kaamyabiyan Izzat Yeh Naam Tum Se Hai
Khuda Ne Jo Bhi Diya Hai Maqam Tum Se Hai

Tumhare Dam Se Hain Mere Lahoo Mai Khilte Gulaab
Mere Wujood Ka Saara Nizam Tum Se Hai

Kahan Bisaat-E-Jahan Aur Mai Kamsin Aur Nadaan
Yeh Meri Jeet Ka Sab Ahtemam Tum Se Hai

Jahan Jahan Hai Meri Dushmani Sabab Mai Hoon
Jahan Jahan Hai Mera Ahteraam Tum Se Hai.

Mein Kisi Aur Ka Hon Itna Bata K Roya


Mein Kisi Aur Ka Hon Itna Bata K Roya
Woh Mujhe Mehndi Lagay Hath Dikha K Roya

Umar Bhar Ki Judai Ka Khiyal Aya Tha Shayed
Woh Mujhe Pass Apnay Dair Tak Bitha Ker Roya

Khat Kitaabein Woh Pyar Ki Sub Nishaaniyan Jala Ker Roya
Tumhari Di Hui Sub Cheezain Utaar Li Gayen

Woh Mujhe Saij Pay Sajay Zevar Dikha Ker Roya
Ab K Na Sahi Zaroor Hashar Mein Milay Gay

Yakja Honay K Dilasay Dila K Roya
Mujhse Zayada Bichernay Ka Gham Usay Tha
Waqt-E-Rukhsat Woh Mujhay Seenay Se Laga Ker Roya.

Tum Aur Fareb Khao Bayan-E-Raqib Se


Tum Aur Fareb Khao Bayan-E-Raqib Se
Tum Se To Kam Gila Hai Ziyada Nasib Se

Goya Tumhari Yad Hi Mera Ilaj Hai
Hota Hai Pahron Zikr Tumhara Tabib Se

Barbad-E-Dil Ka Akhri Saramaya Thi Umid
Vo Bhi To Tum Ne Chhin Liya Mujh Garib Se

Dhundla Chali Nigah Dam-E-Wapasi Hai Ab
A Pas A Ke Dekh Lu Tujh Ko Qarib Se
Tum Se To Kam Gila Hai Ziyada Nasib Se

Goya Tumhari Yad Hi Mera Ilaj Hai
Hota Hai Pahron Zikr Tumhara Tabib Se

Barbad-E-Dil Ka Akhri Saramaya Thi Umid
Vo Bhi To Tum Ne Chhin Liya Mujh Garib Se

Dhundla Chali Nigah Dam-E-Wapasi Hai Ab
A Pas A Ke Dekh Lu Tujh Ko Qarib Se.



Palkon Peh Ruki Boond Bhi Ronay Ko Bohat Hai


Palkon Peh Ruki Boond Bhi Ronay Ko Bohat Hai
Ek Ashk Bhi Daaman Ke Bhigonay Ko Bohat Hai.

Yeh Waqia Hai Dil Mein Meray Teri Mohabbat
Honay Ko Buhat Kam Hai Na Honay Ko Bohat Hai

Phir Kya Ussi Tareekh Ko Dohrao Gay Qatil
Nezay Peh Mera Sir Hi Pironay Ko Bohat Hai

Har Shaakh Se Utrain Gay Samar Dushmanion Ke
Nafrat Ka Bus Ik Beej Hi Bonay Ko Bahat Hai

Kis Tarah Se Baatin Peh Charhi Mail Utaarain
Jo Zakhm Badan Par Hai Wo Dhonay Ko Bohat Hai

Ab Saamna Tughyani-e-Darya Ka Hai Mohsin
Ek Lehar Bhi Kashti Ke Dibonay Ko Bohai Hai.






Bohat Dino Se Mera Dil Uddas Rehta Hai

Bohat Dino Se Mera Dil Uddas Rehta Hai
Main Kya Karoon Bas Ek Hi Shaks Yaad Rehta Hai

Kabhi Khayaal Hi Nahi Aata Ke Main Akeli Hoon
Ab To Mera Dost Mere Saath Rehta Hai

Tum Se Baat Karte Hue Halat Ajeeb Hoti Hai
Mujhe To Kuch Bhi Na Hosh-O-Hawaas Rehta Hai

Kahin Tum Badal Na Jao Kahin Tum Mujhe Bhool Na Jao
Na Jaane Kyun Mujhe Ab Yeh Khauf Her Waqt Rehta Hai

Naa Jaane Mere Dil Ko Kya Hogaya Hai
Kyun Ab Yeh Her Waqt Uddas Rehta Hai.

Abb Kahan Dost Milein Saath Nibhaaney Vaaley


Abb Kahan Dost Milein Saath Nibhaaney Vaaley
Sab Nay Seekhay Hain Abb Adaab Zamaaney Vaaley

Dil Jalao Ya Diye Aankhon Kay Darvaazey Par
Waqt Say Pehlay Tou Aatey Nhi Aaney Vaaley

Ashq Bann Kay Main Nigaahon Mein Teri Aaoongaa
Ai Mujhay Apni Nigaahon Say Giraaney Vaaley

Waqt Badla Tou Uthaatey Hain Abb Ungli Mujh Par
Kall Talaq Haq Mein Merey Haath Utthaaney Vaaley

Waqt Har Zakham Ka Marham Tou Nhi Bann Sakta
Dard Kuchh Hotay Hain Ta-Umar Rulaaney Vaaley.


Khuli Jo Ankh Tou Woh Thaa Na Woh Zamana Thaa


Khuli Jo Ankh Tou Woh Thaa Na Woh Zamana Thaa
Dehkti Aag Thee Tanhaayi Thee Fasana Thaa

Gamon Ney Baant Liya Mujhe Yuun Aapas Mein
Kay Jaisay Main Koi Loota Hua Khazana Thaa

Yeh Kya Chund Hee Qadmon Par Thak Kay Baith Gaye
Tumhein Tou Saath Mera Duur Tak Nibhana Thaa

Mujhe Jo Merey Lahoo Mein Dubo Kay Guzra Hai
Woh Koi Gair Nhin Yaar Ek Poorana Thaa

Khud Apney Hee Haath Say Uss Ko Kaat Diya
Kay Jiss Darakht Kee Tehni Pay Ashiyaana Tha.




Rukhsat Hua To Baat Meri Maan Kar Gya


Rukhsat Hua To Baat Meri Maan Kar Gya
Jo Us K Pass Tha Mujhay Daan Kar Gya

Bichra Woh Kuch Is Ada Say K Rut Hi Badal Gai
Ik Shakhs Saray Shehr Ko Veeran Kar Gya

Kitni Sudhar Gai Hai Judai Mein Zindagi
Haan Woh Jafa Say Mujh Per To Ehsan Kar Gya

Dilchasp Waqia Hai Kal Ik Aziz Dost
Apnay Mufaad Per Mujhay Qurbaan Kar Gya

Sameer Main Baat Baat Pe Kehta Tha Jis Ko Jan
Woh Shakhs Akhir Mujhay Be-Jan Kar Gya.

Kocha E Arzuu Jo Tha Us Main



Ek Gali Thi Jab Us Say Hum Niklay
Aisay Niklay K Jesay Dum Niklay

Kocha E Arzuu Jo Tha Us Main
Zulf E Jana Tarha K Khum Niklay

Jo Phiray Dar BaDar YahaN Wo Log
Wo Log Apnay Bahar Buhat He Kum Niklay

Jin Say Dil Ka Mamlaa Hota
Yaha,N Buhat He Kum Aisay Ghum Niklay

Aag Dil Shaher Main Lage Jis Din
Sab Say Aakhir Main WahaN Say Hum Niklay

Jaun Ye Jo Wajod Hy Ye Wajod
Kya Banay Ge Agar Adam Niklay.


Tere Aane Kaa Dhokaa Saa Rahaa Hai


Tere Aane Kaa Dhokaa Saa Rahaa Hai
Diyaa Saa Raat Bhar Jaltaa Rahaa Hai

Ajab Hai Raat Se Aankhon Kaa Aalam
Ye Dariyaa Raat Bhar Charhtaa Rahaa Hai

Sunaa Hai Raat Bhar Barsa Hai Baadal
Magar Vo Shahr Jo Pyaasaa Rahaa Hai

Vo Koi Dost Thaa Achche Dinon Kaa
Jo Pichhli Raat Se Yaad Aa Rahaa Hai

Kise Dhuundoge In Galiyon Men "Mansoor"
Chalo Ab Ghar Chalen Din Jaa Raha Hai.

Khayl-E-Tark-Tamna Na Kr Skay Tu Bhi


Khayl-E-Tark-Tamna Na Kr Skay Tu Bhi
Udasiyun Ka Madawa Na Kr Skay Tu Bhi

Tujhy Yeh Ghum K Meri Zindgi Ka Kya Ho Ga
Mujhy Yeh Zid K Mudawa Na Kr Skay Tu Bhi

Na Kr Khayal-E-Talafi K Mera Zakhm-E-Wafa
Wo Zakham Hai Jisay Acha Na Kr Skay Tu Bhi

Khayl-E-Tark-Tamna Na Kr Skay Tu Bhi
Udasiyun Ka Madawa Na Kr Skay Tu Bhi

Tujhy Yeh Ghum K Meri Zindgi Ka Kya Ho Ga
Mujhy Yeh Zid K Mudawa Na Kr Skay Tu Bhi

Na Kr Khayal-E-Talafi K Mera Zakhm-E-Wafa
Wo Zakham Hai Jisay Acha Na Kr Skay Tu Bhi.




Bohat Farsooda Lagtey Hain Mujhey Ab Yar Ke Qissey


Bohat Farsooda Lagtey Hain Mujhey Ab Yar Ke Qissey
Gul-O-Gulzar Ki Baten Lab-O-Rukhsar K Qissey

Yahan Sab Ke Muqdar Mein Faqat Zakham-E-Judai Hai
Sabhi Jhothy Fasaney Hain Wisal-E-Yar Ke Qissey

Bhala Ishq-O-Mohabbat Sey Kisi Ka Pait Bharta Hai
Suno Tum Ko Sunata Hoon Mein Karobar K Qissey

Merey Ahbab Kehtey Hain Yahi Ek Aeib Hei Mujh Mein
Sar-E-Dewar Likhta Hoon Pas-Se-Dewar Ke Qissey

Mein Aksar Is Lye Logoun Se Ja Kar Khud Nai Milta
Wohi Be-Kar Ki Batein Wohi Be-Kar Ke Qissey.



Harf-E-Ranjish Pe Koi Baat Bhi Ho Sakti Hai


Harf-E-Ranjish Pe Koi Baat Bhi Ho Sakti Hai
Ain Mumkin Hai Mulaqaat Bhi Ho Sakti Hai

Zindagi Phool Hai Khushboo Hai Magr Yaad Rahay
Zindagi Gardish-E-Halaat Bhi Ho Sakti Hai

Hum Ne Ye Soch K Rakha Tha Qadam Gulshan Mein
Lala-O-Gull Mein Teri Zaat Bhi Ho Sakti Hai

Chaal Chaltay Huay Shatranj Ki Baazi K Usool
Bhool Jao Gay To Phir Maat Bhi Ho Sakti Hai

Aik To Chat K Bina Ghar Hai Tumhara Mohsin
Us Pe Ye Khof K Barsaat Bhi Ho Sakti Hai.

Dil Me Ik Lehar Si Uthi Hai Abhi


Dil Me Ik Lehar Si Uthi Hai Abhi
Koi Taza Hawa Chali Hai Abhi

Shor Barpa Hai Khana-E-Dil Me
Koi Deewar Si Giri Hai Abhi

Bhari Dunya Me Jee Nahi Lagta
Jane Kis Chiz Ki Kami Hai Abhi

Sheher Ki Be-Charagh Galiyon Me
Zindagi Tujh Ko Dhoondti Hai Abhi

Waqt Acha Bhi Aayega Mansoor
Gham Na Kar Zindagi Parri Hai Abhi.


Aaj Gumsum Hay Barbaad Jazeeron Jaisi


Aaj Gumsum Hay Barbaad Jazeeron Jaisi
Uski Aankhon Main Chamak Thi Kabhi Heeron Jesi

Kitnay Maghroor Paharon K Badan Chaak Howay
Taiz Kirnon Ki Jo Baarish Hoi Teeron Jaisi

Jiski Yaadon Say Khayalon K Khazanay Dekhe
Uski Soorat Bhi Lagi Aaj Faqeeron Jesi

Chaahtain Lab Pe Machalti Larki Ki Tarhan
Hasratain Ankh Main Zindaan K Aseeron Jesi

Hum Anna Parast Tang Dast Bohat Hain Mohsin
Yeh Alag Baat K Aadat Hay Ameeron Jesi.




Khush Thay Kuch Aisay Teri Rafaaqat Kay Shoq Mein


Khush Thay Kuch Aisay Teri Rafaaqat Kay Shoq Mein
Manzil Ganwa Di Hum Nay Musaafat Kay Shoq Mein

Nafrat Hi Pehr-E-Daar Mili Har Makaam Par
Jis Dar Pay Hum Gaye Hain Mohabbat Kay Shoq Mein

Hum Baargah-E-Ishq Mein Maqbool Yun Huay
Khud Say Bicharh Gaye Teri Qurbat Kay Shoq Mein

Lotay Hain Ab To Saath Hai Ranj-O-Alam Ki Bheerh
Niklay Thay Ghar Say Aik Musarrat Kay Shoq Mein

Apnay Chaman Say Raabta Bilkul Nahi Raha
Sehra Norad Ho Gaye Daulat Kay Shoq Mein

Daaman Mein Hasraton Kay Siwa Kuch Nahi Mohsin
Aisay Lutay Hain Hum Teri Chahat Kay Shoq Mein.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...