Bohat Farsooda Lagtey Hain Mujhey Ab Yar Ke Qissey


Bohat Farsooda Lagtey Hain Mujhey Ab Yar Ke Qissey
Gul-O-Gulzar Ki Baten Lab-O-Rukhsar K Qissey

Yahan Sab Ke Muqdar Mein Faqat Zakham-E-Judai Hai
Sabhi Jhothy Fasaney Hain Wisal-E-Yar Ke Qissey

Bhala Ishq-O-Mohabbat Sey Kisi Ka Pait Bharta Hai
Suno Tum Ko Sunata Hoon Mein Karobar K Qissey

Merey Ahbab Kehtey Hain Yahi Ek Aeib Hei Mujh Mein
Sar-E-Dewar Likhta Hoon Pas-Se-Dewar Ke Qissey

Mein Aksar Is Lye Logoun Se Ja Kar Khud Nai Milta
Wohi Be-Kar Ki Batein Wohi Be-Kar Ke Qissey.



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...