Jazbaat behkete hain jab tumse milta hoon


Jazbaat behkete hain jab tumse milta hoon
Armaan machalte hai jab tumse milta hoon,

Saath hum dono ka koi bardasht nahi karta
Sab humse jalte hai jab tumse milta hoon,

Ankho se tum jaane kya kya keh deti ho
Toofan se chalte hain jab tum se milta hoon,

Haatho se hath milte hain honto se honth
Dil se dil milte hain, jab tumse milta ho,

Aaho me beh jaati hai tanhai ki har raat
Kai shikve dil me rahte hain jab tumse milta hoon.

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe


Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe,

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe,

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe,

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe.

Meri Gardishon K Wo Din Nahi,


Meri Gardishon K Wo Din Nahi
Mujhe Yaad Un Ki Jafa Nahi

Kabhi MiL Gaya To Khushi Hui
Jo Nahi MiLa To GiLa Nahi

Wohi Sorshein Hain Wohi Tarap
Wohi Dard-o-Gham Wohi Soz-e-DiL

Yehi Zindagi Hai To Kya Kahon
Koi Is Se Barh K Saza Nahi

Unhein Paa K Bhi Jo Na Pa Saka
Ye Mere Naseeb Ki Baat Thi

Wo Hazaar Mujh Se Juda Rahe
Mere DiL Se Phir Bhi Juda Nahi

Wohi Apni Tarz-e-Waafa Rahi
Wohi Un Ki Mashk-e-Jafa Rahi

Wo Zulm Karte Hain Is Tarah
Jaise Mera Koi Khuda Nahi

Ye Mareez-e-Ishq Ka Haal Hai
Aisi Zindagi Bhi Wabaal Hai

Kabhi Dard Hai To Dawa Nahi
Jo Dawa MiLi To Shifa Nahi.

Urdu Poetry, Urdu Sad Poetry, Urdu Ghazal, Sadest Poetry, Urdu Poetry With Picture,


Kathan Safar Hai Mohabbatoon Ka Kharab Raaste Hai Sonch Lena
Woh Chodd Jaate Hain Ik Qadam Par Joh Saath Chalte Hai Sonch Lena,

Yeh Reet Tum Na Nibha Sakho Ge Na Sang Rehne Ki Baat Karna
Ke Ishq Waloon Ki Rah'guzar Main Chanab Aate Hai Sonch Lena,

Tumhain Kaha Tha Ke Banna Ke Apna Faraib Deta Hai Yeh Zamanna
Tumhain Kaha Tha Ke Aastino Main Sanp Paalte Hai Sonch Lena,

Woh Aik Basti Jahan Pe Hum Tum Mile Thai Mil Kar Bichadd Gaiye Hain
Wahan Pe Ab Bhi Meri Wafa Ke Charagh Jalte Hai Sonch Lena.

Main Lafzon Se Kuch Bhi Izhar Nahi Karta,


Main Lafzon Se Kuch Bhi Izhar Nahi Karta
Iska Matlab Ye Nahi Ke Main Tujhe Pyar Nahi Karta,

Chahta Hoon Main Tujhe Aaj Bhi Par
Teri Sonch Mein Apna Waqt Bekar Nahi Karta,

Tamasha Na Bann Jaiye Kabhi Mohabbat Meri
Iss Liye Apne Dard Ko Aashkar Nahi Karta,

Joh Kuch Mila Hai Usse Mein Khush Hoon
Main Tere Liye Khuda Se Takrar Nahi Karta.

Heart Touching Images Poetry, Urdu Poetry, Beautifull Urdu Poetry with Beautifull Picture,


Kuch Iss Tarha Se Usse Pyar Karna Padta Hai
Ki Apne Pyar Se Inkaar Karna Padta Hai,

Kabhi Kabhi Toh Woh Itna Qareeb Hota Hai
Ke Apne Aap Ko Dewaar Karna Padta Hai,

Khuda Ne Uss Ko Atta Ki Hai Maseehaai
Ki Khud Ko Jaan Ke Beemar Karna Padta Hai,

Wafa Ki Raah Mein Dushwariyaan Toh Aati Hain
Wafa Ki Raah Ko Hum-Waar Karna Padta Hai,

Woh Haath Rakh Ke Mere Dil Par Jab Bhi Poochta Hai
Toh Mujh Ko Dard Se Inkaar Karna Parta Hai.

Urdu Heart Touching Poetry,


Main Bhool Javoon Jisse Yeh Woh Hadsa Bhi Nahi
Woh Aaj Aise Mila Jaisa Jaanta Bhi Nahi

Mere Khayal Ki Dehleez Pai Woh Aah Baithe
Ab Uss Se Bach Ke Guzarne Ka Raasta Bhi Nahi,

Zahe Naseeb Woh Naraaz Ho Gaiye Hum Se
Yeh Aur Baat Hai Ki Apni Koi Khata Bhi Nahi,

Kisse Khabar Thi Ki Suraj Bhi Rooth Jaayega
Uss Aik Makaan Se Jiska Koi Dia Bhi Nahi,

Sajaiye Rehte Hai Ashkoon Ke Deep Palkoon Par
Ajeeb Shaqs Hai Kuch Moo Se Bolta Bhi Nahi,

Humari Samt Sabhi Raaste Simat Aaye
Tumhari Samt Abhi Yeh Qadam Utha Bhi Nahi,

Kisi Ki Raat Hai Roshan Charagh Ki Manand
Kisi Makaan Main Bujhta Huwa Diya Bhi Nahi,

Lo Hum Ne Zeest Bhi Kardi Usse Ke Naam Sarosh!
Joh Hum Ko Pyar Se Ek Bar Daikhta Bhi Nahi.

Urdu Heart Touching Poetry,


Kahin Sehra Kahin Sookhe Shajar Ache Nahi Lagte
Mujhe Ab Khawab Zaaron Ke Safar Ache Nahi Lagte,

Jawabi Khat Mein Youn Usne Mere Baare Mein Likha Tha
Bura Bhi Keh Nahi Sakhte Magar Ache Nahi Lagte,

Nahi Masroof Main Itna Ke Ghar Ka Raasta Bhooloon
Koi Jab Muntazir Na Ho Toh Ghar Ache Nahi Lagte,

Sumander Tairti Lashoon Se Yeh Kehta Raha Shab Bhar
Mujhe Bhi Doobne Walo, Bhanwar Ache Nahi Lagte,

Nahi Aisa Ke Ab Parwaz Ki Taqat Nahi Baqi
Meri Umeed Ki Panchi Ko Par Ache Nahi Lagte.

Eid Mubbarak, Happy Eid Mubbarak


Happy Eid Mubbarak 2013


Urdu Heart Touching Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Images Poetry,


Salook Us ne Mujh se Kisi Cigrete Jesa kiya
Pehlay Jalaya Phir Piya, Paoon Rakha Aur Bujha diya

Bas Talab thi Us ko Meri, Kuch Waqt ke leey
Pehlay Lagaya Honton se, Or Phir Dhuwen mai Urha diya

Apni Sansen Kheench ke Meri Khushboo Khud mai Bhasali
Or
Meri Jhalti hui Raakh ko Apni Ungliyon se Gira diya.

Urdu Heart Touching Poetry, Barish Poetry, Urdu Sadest Poetry, Heart Touching Poetry,


Tum ne Barishon ko Sirf Barstay Dekha hay
Mai ne Aksr Barishon ko Kuch khtay deka hay,

Tum Dekty ho Barishon ki Jal thal har Saal
Mai ne Barsat ko Palkon pe Machltay Deka hay,

Kesy Mangoun Phir Barasta Sawan Apne RAB se
Ke In Ankhon ne Dilon ko Sawan mai Ujhrty deka hay,

Seekh gaye hum Barishon ko Apne Andar Utarny ka Hunar
Aur Phir Sab ne Hamain har Pal har Dum Hanstay deka hay.

Urdu Heart Touching Poetry, Heart Touching urdu Poetry, Sad Urdu Poetry,


Mila Woh bhi Nahi Karty
Mila Hum bhi Nahi Karty

Gila Woh bhi Nahi Karty
Gila Hum bhi Nahi Karty

Kisi Morr per Hojata hy Aksar
Un se Saamna

Ruka Woh bhi Nahi Kartay
Ruka Hum bhi Nahi kartay

Jab bhi Dekhtay hain Unhain
Sochty hain Kuch Kahain Un se

Suna Woh bhi Nahi Karty
Kaha Hum bhi Nahi Karty

Leki!nnn
Yeh bhi Sach hay

Muhabbat Unhain bhi hy Hum se
Muhabbat hamain bhi hay Un se

Kaha Woh bhi Nahi Karty
Kaha Hum bhi Nahi Karty.

Heart Touching Poetry, Sadest Urud Poetry, Sad Poetry, Urdu poetry, Picture Poetry,


Tumhe ye man'na hoga ky humne apney lab see kar
Sakoot-e-Shab ki muhti mein, Koi tufaan rakha hai,

Saja saktey they yadoo'n ky, naye chehrey, kai paikar
magar kuch soch kar humney ye ghar veeran rakha hai,

Humein shok-e-aziyat hai warna es zamaney mein
Teri yaadei'n bhoolany ko, buhut samaan rakha hai.

Allama iqbal Poetry, Iqbal Poetry, Ishq Poetry By Iqbal, Urdu Poetry,


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...