Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota
Ya mera taaj gadayana banaaya hota
Apna deewana banaya mujhe hota tu ne
Kyun khirad mand banaaya na banaaya hota
Khaksaari ke liye gar che banaaya tha mujhe
Kaash sang-e-dar-e-janaana banaay hota
Nashaa-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
Umr ka tang na paimaana banaaya hota
Dil-e-sad chaak banaaya to balaa se, lekin
Zulf-e-mushkeen ka teri shaana banaaya hota
Soofiyon ke jo na tha laayaq-e-sohbat to mujhe
Qaabil-e-jalsa-e-rindaana banaay hota
Tha jalaana hi agar doori-e-saaqi se mujhe
To charaagh-e-dar-e-janaana banaaya hota
Roz maamoora-e-duniyaa mein kharaabi hai
Aisi basti se to weerana banaaya hota.
No comments:
Post a Comment