Suno Tum Maan Jao Na
Hamain Ab Yun Satao Na
Tumharay Bin Hamain Jena
Gawara Ab Nahi Hota
Tumhain Kaisay Kahun Tum Bin
Guzara Ab Nahi Hota
Hamain Apna Bana Lo Tum
Tumhara Ban Ke Rehna Hai
Mujhe Dukh Hijar Ka Janam
Nahi Ab Or Sehna Hai
Kaee Sapnay Sajaey Hain
Ab In Me Rang Bhar Do Na
Tumhain Meri Kasam Janaa
Tum Meray Sang Chal Do Na
Mujhay Ab Aur Rulao Na
Suno Tum Maan Jao Na.
No comments:
Post a Comment