Thaamon gi haath tumhara sath tumhare chaloon gi

Thaamon gi haath tumhara sath tumhare chaloon gi
Bharoosa rakho mujhe pr, dard aashna rahoon gi,

Sadiyaoon ki thakan ko paloon men sameetna hai
Thandak ki shidat men hararat tumhari banoon gi,

NaR'sai ka azab jo tum ne chakha hai,
Mehsoos men ne bhi kiya hai, dard mujhe bhi huwa hai,

Aaena hun tumhara, Chupa nahi sakoon gi
Gam tumhare hen jitnay apne aanchal men sameetoon gi,

Dil se boojh utaro aur sakoon se soo jao
Udasiyan sab tumhari men ab door karoon gi,

Tumharey jazboon ki shidat Rooh meen utarti hai
Issey qaem rakhna warna khud se rooth jao gi.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...