Itnay chup kyun ho rafeeqan-e-safar kuch to kaho

Itnay chup kyun ho rafeeqan-e-safar kuch to kaho
Dard say choor huay ho keh qarar aaya hai,

Bhar gaya hijr ka her zakhm keh jee haar chalay
Bujh gaya shoq keh peghaam-e-nigar aaya hai,

Na muradi ki thakan hai keh khumar-e-shab-e-wasl
Jaan sulagti hai keh chehron peh nikhar aaya hai,

Kitni ujri hui rut hai keh sukoon hai na junoon
Itni bay-faiz hui baad-e-bahari kesay,

Na kaheen noha-e-jaan hai na kaheen naghma-e-dil
Kuch to bolo keh shab-e-dard guzari kesay,

Sar-ba-zaanoo ho to kyun chaak girebaan walo
Baazi-e-raah-e-talab jeet kay hari kesay.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...