Sochti hoon tujhe ab kay baras kia bejhoon

Sochti hoon tujhe ab kay baras kia bejhoon
Jaan bejhoon tujhe yah dil ka dharakna bejhoon,

Maang loon apnay khuda se koi lamha aisa
Jis peh tu aa keh tehr jaye who rasta bejhoon,

Sakht sardee mai Mohabbat ki Samoo doon Garmi
Aur garma mai khunk mausam-e-aasa bejhoon,

Chand ratoon ka fasoon ab kay tere naam likhoon
Din Ki Hiddat kay liye shajr gahna sa bejhoon,

Tashangee ab kay baras tujh se bohot duur rahay
Piyaas umroon ki bujha dey who maseeha bejhhoon,

Tu Chalay gar Tu cheraagaan sitaare saath chalay
Dil ase jo nikli dua usska khazeena bejhoon,

Umri khawhish keh Bahar aa ke tere ghar mein rahay
Aur barsaat mein rhim jhim ka sandeesa bejhoon,

Kaash koi aisee Kiramat ho mere pass keh mein
Duur Tak mausam-e-gul na ho main tujhe gancha bejhoon.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...