Duniya ki lambi raahon par, Uedu Heart Touching Poetry,

Duniya ki lambi raahon par
Hum youn to chalte jate hain,

Kuch aisay loog bi milte hain
Jo yaad hamesha ate hain,

Wo raah badalte hain apni
aur murr kar hath hilate hain,

Lekin dilon ki yaadon ko
Khushboo ban kar mehkate hain,

Aisay hi safar karte karte
Ek shakhs mila hum ko bi kahin,

Duniya mai achay loog bohat
Lekin uski si baat nahi,

Thi laag na uskay bolon mai
Ki baat na koi Lagawat ki,

Uskay Fiqray tootay tootay
uski aankhain khoi khoi,

Keh kar hi na jaye jo hum chahain
Socha hi kare bethe bethe,

Par dekhe aisay narmi se
Ek baar to ho jaye dhoka,

Goo sath hamara khwaab raha
Usko na hoi pehchan bohat,

Gar bhooj le dil ki baat kabhi
Ho jata tha Hairaan bohat,

Aur hum uski Hairani par
Sharminda ho kar reh jate,

Kuch aur hamara Matlab tha
Phir dair talak usko samjhate,

Ab Chehra uska ho Ujjla
Ya Aankhain uski hon Gehri,

Ya uskay pyaray honton ki
Har baat lagay thehri thehri,

Kuch loog jo achay hote hain
Aur raahon mai mil jate hain,

Hain unko apne kaam bohat
Kab apna waqt ganwate hain,

KAB PYASE PYASE REHTE HAIN
KAB JEE KO ROOG LAGATE HAIN.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...