Dareeche se jhankti wo ladki

Dareeche se jhankti wo ladki
Ajeeb dukh se bhari huyi hai,

Ki uske aangan me phool par
Ek neeli titli mari huyi hai,

Kabhi azaanon me khoyi khoyi si
Kabhi namaazon me royi-royi si,

Wo aise duniya ko dekhti hai
Ki jaise us_se dari huyi hai,

Darod se mehki mehki saansen
Wazzefe padhti hui wo aankhen,

Ki ek sham_e_ummid unme
Kayi baras se padi huyi hai,

Wo dukh ke chadar me lipti lipti
Wo kale kapron me simti simti,

Mohabbat usne kisi se shayad
Meri tarha se ki huyi hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...