Urooj per he tumara mosam, Urdu Heart Touching Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,

Urooj per he tumara mosam
Khizan me tumko khareed len gay
Bano gy hum se reham k talib
Na tumko moqa mazeed den gay,

Ada k qissy huy purany
Jafa ka mosam khatam hi samjho
Karen gay tum se hisab jana!
Na tumko mohlat mazed den gay,

Wafa k lalach me aa k hum ne
Lahoo bhi apna sukha dia hai
Fareeb'o'masti k badly tumko
Saza bhi sunlo shadeed dain gay,

Urooj per he tumara mosam
Khizan me tumko khareed len gay.

Faraz Urdu Poetry, Ahmed Faraz Ghazal, Urdu Ghazal By Ahmed Faraz,

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey
Kisi ko sairaab kare woh kise pyasa rakhey,

Umer bhar kaun nibata hai taluk itna
Ae meri jan ke dushman tujhe allah rakhe,

Humko acha nahin lagta koi humnam tera
Koi tujhsa ho tu phir nam be tujhsa rakhey,

Dil b pagal hai us shaks se wabasta hai
Jo kise aur ka na hone de na apna rakhey,

Kam nahin tamam e ibadat bhi to hirs-e-zar se
Fuqr to wo hai ke deen na duniya rakhey,

Hans na itna bhi faqeeron ke akelepan par
Khuda meri tara tujh ko b tanha rakhe,

Yeh qana at hai, ita-att hai ke chaht hai Faraz
Hum to razi hai wo jis haal mein jesaa rakhe.

Faraz Poetry,Faraz Ghazal, Faraz Urdu Ghazal. Faraz Heart Touching Poetry,


Barason ke baad dekhaa ik shakhs dilrubaa sa
Ab zahan main nahin hai par naam thaa bhalaa sa,

Abaruu khinche khinche se aankhain jhuki jhuki si
Baatain ruki ruki si lahajaa thakaa thakaa sa,

Alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar main
Ban jaaye jangalon main jis tarah raastaa sa,

Khvaabon main khvaab us ke yaadon main yaad us ki
Nindon main ghul gayaa ho jaise ke ratjagaa sa,

Pahale bhi log aaye kitane hi zindagi main
Wo har tarah se lekin auron se thaa judaa sa,

Agali muhabbaton ne wo naam uraadiyaan din
Taazaa rafaaqaton se dil thaa daraa daraa sa,

Kuchh ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye
Kuchh zahar main bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasa,

Phir yon huaa ke savan aankhon main aa base the
Phir yon huaa ke jaise dil bhi thaa aabalaa sa,

Ab sach kahain to yaaro ham ko khabar nahin thi
Ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa sa,

Tevar the berukhi ke andaaz dosti ke
Wo ajanabi thaa lekin lagataa thaa aashnaa sa,

Ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
Naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahin thaa pyaasa,

Ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
Apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa sa.

Ye dil bhulata nahi hay muhabbatein us ki


Ye dil bhulata nahi hay muhabbatein us ki
Pardi hoi thein mujhay kitni aadatein us ki,

Ye mera sara safar us ki khushboowon mein kata
Mujhay to rah dikhati thin chahatein us ki,

Main door honay lagi hon to aesa lagta hay
Keh chhaon mein jesi thin mujh pe rifaqatein us ki,

Ye kis gali mein kis sheher mein nikal aayay
Kahan e reh gain logo sadaqatein us ki,

Main barishon mein juda ho gai hon us say magar
Ye mera dil, meri sansein amanatein uski.

Judaai Poetry, Dard O Gham Poetry, Sad Picture Poetry, Ishq Poetry,


Bikhra Wajood, Tootay Khuwab, Sulagti Tanhaiyaan
Kitnay Haseen Tohfay De Jaati Hai Ye Judaii.

Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Sad Poetry, Sadest Poetry, Heart Touching Poetry,

Ye meri ana ki shikast hai na dawa karo na dua karo
Karo to bas ye karam karo mujhay meray hal pay chore do,

Wo jo eek turkash e waqt hai abhi us main teer bohot say hain
Koi teer tum ko na aa lagay meray dard e dil pay na youn hanso,

Na main koh kan hoon,na kais hoon , mujhay apni jaan aziz hai
Mujhay tark e ishq kabool hai agar tumhain yakeen e wafa na ho,

Jo tumharay dil main shakook hain to ye eahd namay fazool hain
Jo meray khatoot hain phar do ye tumharay khat hain samait lo,

Jo kisi ko koi satay ga to gila bhi honton pay aay ga
Ye to ik asool ki baat hai jo khafa hai mujh say koi to ho,

Mujhay ab sadaon say kaam hai mujhay khal o khad ki khabar nahi
To phir is fraib say faida ye nakab ab to utar do,

Mujhay apnay fukar pay naaz hai mujhay is karam ki talab nahi
Main gada nahi hoon fakeer hoon ye karam gadaon main bant do,

Ye faqt tumharay sawal ka mera mukhtasir sa jawad hai
Ye gila nahi hai khaloos hai meri guftagu ka asar na lo,

Ye adhoray chand ki chandani bhi adhori raat main kam nahi
Kahin ye bhi sath na chore day abhi roshani hai chalay chalo.






Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Sad Poetry, 
Sadest Poetry, Heart Touching Poetry, 

Romantic Poetry, Romantic Picture Poetry, Urdu Picture Poetry, Urdu Poetry, Poetry with Images,


Uff! Wo Naram Labon Ka Dheerey Se Kehna
Koi Dekh Na Le Ab Mujhe Jaane Do!.




Romantic Poetry, Romantic Picture Poetry, Urdu Picture Poetry,
Urdu Poetry, Poetry with Images,
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...