MOHABBAT KI YEHI TAREEF HAI K


Azal se hai mohabbat mawra lafzon ki mala se
Magar yeh bhe haqeeqat hai


Mohabbat soch k aakash per badal ki soorat mei
Sada parwaz kerti hai,
Kabhi barish ki boondon mei simat ker
dil ki dharti per Utarti hai, Bikharti hai


Ada le ker saba se yeh, Gulabon se mehek le ker
Dhanak se rang le ker aur sitaon se chamak le ker
Haseen aanchal banati hai
Usi aanchal se phir khuwabon k kacchay ghar sajati hai
Mohabbat aazmati hai


Kabhi yeh sher ban ker lafz ki hurmat barhati hai
Kabhi yeh saaz ban ker dheere dheere gungunati hai
Sarapa aankh ban jati hai yeh mehboob ko paa ker
Anokha lams ban jati hai kooye yaar mei jaa ker
Na jane kon sa mantar yeh parh ker hole hole se
Kisi ki band palkon mei bina dastak diye yak dam
Utar ker ghar banati hai .... Mohabbat muskurati hai


Yeh khushboo hai hamesha phool ki sanson mei hoti hai
Bana de chaand teera shab ko jo yeh aesa moti hai
Kasak hai dayimi is mei, Bohat benaam lazzat hai
Mohabbat ki yehi tareef hai k yeh "MOHABBAT" hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...