Urdu Poetry, Romantic Ghazal, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,


Main aaina tha, woh mera khayal rakhti thi
Main toot-ta tha to chunkar sambhal rakhti thi

Har ek masle ka hal nikal rakhti thi
Zaheen thi, mujhe herat mein daal rakhti thi

Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
Woh rokti thi mujhe, kal pe taal rakhti thi

Bas ek woh thi jise zakhm main dikhata tha
Bas ek woh thi keh jo khayal rakhti thi

Woh mere dard ko chunnti thi apni pooron se
Woh mere waste khud ko nidhal rakhti thi

Woh doobne nahi deti thi dukh ke dariya mein
Mere wajood ki naow uchaal rakhti thi

Duain uski balaon ko rok leti thi
Woh mere chaar soo haathon ki dhaal rakhti thi

Ek aisi dhun ki nahi phir kabhi maine suni
Woh munfarid sa hansi mein kamal rakhti thi.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...