Meri zindgi ko ek tamasha bana diya usne


Meri zindgi ko ek tamasha bana diya usne
Bhari mehfil me tanha bitha diya usne

Aisi kya thi nafrat usko ik masoom dil se
Khushiya chura kar gham thama diya usne

Bahat naaz tha uski wafa pe kabhi humko
Mujhko hi meri nazron me gira diya usne

Khud bewafa tha meri wafa ki kya qadar karta
Anmol thi main khak me mila diya usne

Kisi ko yaad karna to uski fitrat me shamil hi nahi
Hawa ka jhooka samjh kar bhula dia usne.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...