Kabhi ansu, kabhi khushbu, kabhi nagma ban kar


Kabhi ansu, kabhi khushbu, kabhi nagma ban kar
Humse har shaam mili hai tera chehra ban kar
Chand nikla hai tere ankh ke ansu ki tarah
Phool mehke hai teri zulf ka saya ban kar
.
Meri jaagi hui raato ko usi ki hai talaash
So raha hai teri ankho me jo sapna ban kar
Dil ke kaghaz par utarta hai jo shero ki tarah
Mere honto par machalta hai jo nagma ban kar
.
Mera kya haal hai kabhi aa kar tu dekh to le
Jee raha hu tera bhula hua wada ban kar
Din ke ujale me bhi nahi bujhti tere chehre ki chamak
Rooh main phail gya hai jo ujala ban kar
.
Dhup me kho gya hai hath chura kar wo ajnabi
Ghar se sath chala tha jo mera saya ban kar
Kabhi ansu, kabhi khusbu, kabhi nagma ban kar
Humse har shaam mili hai tera chehra ban kar.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...