Sitaron se aage jahan aur bhi hain, Allama Iqbal Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Best Ghazal,

Sitaron se aage jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain

tahi zindagi se nahi ye fazayen
yahan saikadon karavan aur bhi hain

kanaat na kar aalam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi aashiyan aur bhi hain

agar kho gaya ek nasheman to kya gham
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain

tu shahin hai parwaz hai kam tera
tere samane aasman aur bhi hain

isi roz-o-shab mein ulajh kar na reh ja
ke tere zamin-o-makan aur bhi hain

gae din ke tanha tha main anjuman mein
yahan ab mere razdan aur bhi hain.

2 comments:

  1. Beautiful Iqbal Poetry. Thank you for sharing Amazing urdu shayari with us.

    ReplyDelete
  2. Thank you for Provoiding Good Content, amazing Poetry, good poetry of
    Q4quotes islamic

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...