Khird ke pas khabar ke siwa kuch aur nahi, Allama Iqbal Poetry, Best Ghazal, Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Latest Poetry, Latest Poetry 2014,


Khird ke pas khabar ke siwa kuch aur nahi
tera ilaj nazar ke siwa kuch aur nahi

har muqam se aage muqam hai tera
hayat zauq-e-safar ke siwa kuch aur nahi

rangon mein gardish-e-khun hai agar to kya hasil
hayat soz-e-jigar ke siwa kuch aur nahi

urus-e-lala munasib nahi hai mujhase hijab
ki main nasim-e-sahar ke siwa kuch aur nahi

jise qasad samajhate hain tajaran-e-firang
wo shay mata-e-hunar ke siwa kcuh aur nahi

giranbaha hai to hifz-e-khudi se hai warna
gohar mein aab-e-gauhar ke siwa kuch aur nahi.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...