Karb chehray se maah-o-saal ka dhoya jaaye


Karb chehray se maah-o-saal ka dhoya jaaye
Aaj fursat se kaheen baith k roya jaaye
Phir kisi nazm ki tamheed uthaai jaaye
Phir kisi jism ko lafzon men samoya jaaye
Kuch to ho raat ki sarhad men utarnay ki saza
Garm sooraj ko sammundar men daboya jaaye
Itni jaldi to badaltay nahi hongay chehray
Gard aalood hain aaeenay inhain dhoya jaaye
Maut se khof zada jeenay se Bay-zaar hain log
Aisay aalam men hansa jaaye k roya jaaye.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...