Kabhi aankh se jo gira nahi

Kabhi aankh se jo gira nahi
Main wo ashk hun,Mere Dosto
Mera zabt hey meri zindagi
So main kya kahoon, Mere Dosto
Main to aik harf-e-sawal hun 
main to aik mouj-e-khayal hun
Wo sunay to arz-e-wafa karoon
Kahay to bahun mere dosto
Tumhi meri ronaq-e-sheher thay
Meri jaan thay,maani-e-dehr thay
Mera aas paas ujard gya
Main kahan rahoon mere dosti
Wo jo phool hain jo charagh hain
Mere naam k wo tumhain milain
Ye jo zakhm hain ye jo dagh hain
Inhain main sahun 
Mere dosto Kahien jeet kar tumhain kho na doon
Tu shikast apni hi maan loon
Mere zarf ka hey ye faisla
K main chup rahoon mere dosto.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...