Suna hay barish usay bhi pasand hay


Suna hay barish usay bhi pasand hay
wo bhi meri tarhan barasti bundon ko hathon may samayt leti hay

Suna hay Phool usay bhi pasand hain Wo bhi meri tarhan phoolon
say ghanton batain karti rehti hay Suna hay chand usay bhi pasand hay

Wo bhi meri tarhan raat raat bhar usay takti rehti hay
Suna hay tanhai usay bhi pasand hay Wo bhi meri tarha

Par wo tanha beth kar kis ko sochti hay
Sari batain sachi hain Magar Ye bhi sach hay

Main jo uss k baray may har baat ki khabar rakhta hon
Ye bhi janta hon k uss ki sochon ka mahwar main nahi.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...