sitaron se age jahan aur bhi hain


sitaron se age jahan aur bhi hain
abhi ishq k imtihan aur bhi hain

tahi zindagi se nahin ye fazayen
yahan saikaron karawan aur bhi hain

kanat na kar alam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi ashiyan aur bhi hain

agar kho gaya ek nasheman to kya gam
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain

tu shahin hai parwaz hai kam tera
tere samne asman aur bhi hain

isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
k tere zamin-o-makan aur bhi hain

gae din k tanha tha main anjuman mein
yahan ab mere razadan aur bhi hain.




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...