Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay
Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartey Thay
Aankh Mein Piyaas Howa Karti Thi
Dil Mein Tofaan Utha Kartey Thay
Logg Aatey Thay Ghazal Sunney Ko
Hum Terii Baat Kiya Kartey Thay
Sach Samajhtey Thay Teray Wadoon Ko
Raat Din Ghar Mein Raha Kartey Thay
Kisi Veeranay Mein Tujsey Mil kar
Dil Mein Kiaa Phool Khila Kartey Thay
Ghar Ki Dewaar Sajanay Kay Leye
Hum Teraa Naam Likha Kartey Thay
Woh Bhi Kia Din Thay Bhulaa Kar Tujhko
Hum Tujhey Yaad Kiya Kartey Thay
Jab Teray Dard Mein Dil Dukhta Tha
Hum Teray Haq Mein Dua Kartey Thay
Bujhnay Lagta Jo Chehra Tera
Daagh Seenay Mein Jala Kartey Thay
Apnay Jazboon Ki Kamandon Say Tujey
Hum Bhi Taskheer Kiya Kartey Thay
Apnay Aansoo Bhi Sitaroon Ki Tarah
Teray Hontoon Pay Saja Kartey Thay
Chairta Tha Ghum-E-Duniya Jab Bhi
Hum Teray Ghum Say Gilla Kartey Thay
Kal Tujey Dekh Kay Yaad Aya Hay
Hum Sukh’Noor Bhi Howa Kartey Thay.
No comments:
Post a Comment