
Main Talkhie-e-Hayat Se Ghabra Ke Pee Gaya
Gham Ki Siyah Raat Se Ghabra K Pee Gaya
Itni Daqeeq Shey Koi Kese Samajh Sake
Yazdaan K Waaqiyaat Se Ghabra K Pee Gaya
Chhalke Hue Thye Jaam Pareshaan Thee Zulf-E-Yaar
Kuch Aese Halaat Se Ghabra K Pee Gaya
Main Aadmi Houn Koi Farishta Nahi Huzoor
Main Aaj Apni Zaat Se Ghabra K Pee Gaya
Kaante To Khair Kaante Hain Un Se Gila Hee Kya
Pholoun Ki Waardaat Se Ghabra K Pee Gaya
"Saghar" Wo Keh Rahe The Pee Liejiye Huzoor
Un Ki Guzaarshaat Se Ghabra K Pee Gaya.
No comments:
Post a Comment