Kitaab Kab Tak Rahe Gi Saada Kabhi Tu Aaghaz-E-Baab Hoga
Jinhun Ne Basti Ujaar Dali Kabhi Tu Un Ka Hisaab Hoga
Sehar Ki Khushiyan Manane Walon Sehar Ke Tewar Bata Rahy Hain
Abhi Tu Itni Ghutan Barhe Gi Ke Saans Lena Bhi Azab Hoga
Woh Din Gaye Ke Jab Har Sitam Ko Ada-E-Mehboob Keh Kar Chup Thay
Uthay Gi Hum Par Jo Entt Koi Tu Patthar Us Ka Jawab Hoga
Sukoon-E-Sehra Main Basne Walon Zara Ruton Ka Mizaaj Samjho
Jo Aaj Ka Din Sukoon Se Guzra Tu Kal Ka Mausam Kharab Hoga
Nahi Ke Ye Sirf Shairy Hai Ghazal Mein Tareekh E Behissi Hai
Jo Aaj Sheron Mein Ked Dia Hai Wo Kal Shareek E Nisab Hog.
No comments:
Post a Comment