Kbhi Aansoo Kbhi Khushboo Kbhi Naghma Ban Kar


Kbhi Aansoo Kbhi Khushboo Kbhi Naghma Ban Kar
Hum Se Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Ban Kar

Chaan Nikla Hai Teri Aankh K Aansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saaya Ban Kar

Meri Jaagi Hui Aankhon Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Aankhon Mein Jo Sapna Ban Kar

Dil K Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Mery Honton Pe Machalta Hai Jo Naghma Ban Kar

Raat Bhi Aaye To Bhujti Nahi Chehray Ki Chamak
Rooh Mein Phail Gaya Hai Wo Ujala Ban Kar

Mera Kya Haal Hai Ye Aa K Kbhi Dekh To Le
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Huwa Waada Ban Kar

Dhoop Mein Khoo Gaya Wo Haath Churra Kar
Ghar Se Jo Saath Chala Tha Mera Saaya Ban Kar.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...