Kash kabhi aisa ho tujhe yaad karu


Kash kabhi aisa ho
tujhe yaad karu

aur tu aa jaye
tere pehlu me baithu

jannat zami par a jaye
kash kabhi aisa ho jaye

kash kabhi aisa ho
tujhe jo pukaru mai

tu pal me baaho me bhar jaye
ghane darakhato ko chir kar

mujhe tham kar tu muskuraye
kaash kabhi aisa ho jaye

kaash  jb chand main niharu
bas tu najar aaye

Milo ki duriyo
yun sargoshiya ban jaye

kash kabhi aisa ho jaye
Kaash  kabi aisa ho jaye

narajgi bi na la paye duriya
aur na hi ho koi majburiya

tut kar chahu main tujhe
aur duriya simat jaye

kaash kbhi aisa ho jaye
kaash jo main sochu dil me

us dil tak pahunch jaye
bin alfaz kare guftgu hum

dhadkano ki bi samajh jaye khwahishe
Kash kbhi aisa ho jaye

Aye Kaash Rasmo Riwajo se pare
bepanah mohabat hum kare

kash ek duniya ho aisi
tu mera ho, aur mai teri
Kaash kabhi jo aisa ho jaye.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...