Ham Kisi Chashm-E-Fusoon Saz Mein Rakhay Huay Hain
Khwab Hain Khwab Kay Andaz Mein Rakhay Huay Hain
Taab Anjam-E-Muhabbat Ki Bhala Kya Latay
Natawan Dil Wahin Aaghaz Mein Rakhay Huay Hain
Jaltay Jaen Gay Abhi Aur Chraghon Say Chragh
Jab Teri Anjuman-E-Naaz Mein Rakhay Huay Hain
Ay Hawa Aur Khizaon Kay Ilawa Kya Hai
Waswasay Kion Teri Aawaz Mein Rakhay Huay Hain
Ik Sitaray Ko To Main Subh Talak Lay Aaei
Beshtar Raat Kay Aaghaz Mein Rakhay Huay Hain
Kat Kay Woh Par To Hwaon Mein Kahin Ur Bhi Gaey
Dil Yahin Hasrat-E-Prwaz Mein Rakhay Huay Hain
Ham To Hain Aab-E-Zar-E-Ishq Say Likhay Huay Harf
Baish Qeemat Hain Buhat Raaz Mein Rakhay Huay Hain.
No comments:
Post a Comment