Gham e zindagi ne la k humhain us jaga pe mara
jahan es taraf kinara na us taraf kinara
yahan kis ko itni fyrsat jo haal pochey humara
yea Mizaaj hai sabhi ka nahin Zikar hai tumhara
Yea ajeeb sa jahan hai yahan sab daaray howe hain
koi Dushmini ka maara koi dosti ka maara
Kayi kaam reh gaye hain tere ishq ki wajha se
tere sath bhi khasara tere bad bhi khasara
Tere sath beete lamhay meri Zindagi ka hasil
tere bad phr kisi ne nahin Piyar se pukara.
No comments:
Post a Comment