Chalo phir dhoond lain hum
Usi masoom bachpan ko
Unheen masoom khushion ko
Unhi rangeen lamhoon ko
jahan gham ka pata na tha
jahan dukh ki samjh na thi
Jahan bs muskurahat thi
Bahaarain hi bahaarain theen
K jb sawan barasta tha
To us kaghaz ki kashti ko
Bana na aur dabo dena
Boht acha sa lagta tha
Aur is dunia ka har chehra
Boht sacha sa lagta tha Chalo
Phir dhoond lain usi masoom bachpan ko.
No comments:
Post a Comment