
Chalo ek baar phir say ajnabi bun jain hum dono
Na main tum say koi umeed rakhoon dil nawazi kee
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say
Na meray dil kee dharkan larkaraay meri baathon say
Na zahir ho tumhaari kushma-kush ka raaz nazron say
Tumhain jo koi anjuman roktee hai paish qadmi say
Mujhey bhi log kehtay hain kay yeh jalway paraay hain
Meray humrah bhi ruswaeeyan hain meray maazi kee
Tumharay saath bhi guzree huee raaton kay saay hain
Taaruff rog ho jaay tau usska bhoolna behtar
Taalluq bojhe bun jaay tau usska torna acha
Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin
Ussay ek khoobsoorat mor day kar chorna acha
Chalo ek baar phir say ajnabi bun jaain hum dono.
No comments:
Post a Comment