Sharabon jesi ankhen, phool ki patti jesey hont, Romantic Poetry, Romantic Ghazal, Romantic Urdu Poetry, Romantic Urdu Sms, Urdu Sms,


Sharabon jesi ankhen, phool ki patti jesey hont
Gul ko dho de jesey shabnam, us larki k wesey hont.

Ankh uthaye to tarpa de, boley to dehkaay aag
Uff toba ye kesi ankhen, Uff toba ye kesey hont.

Aksar dhonda kartey hen ham, phir kar sheher ki sarkon par
Mast katora c wo ankhen, mast bananey waley Hont.

Kitni piyari lagti hen wo, ankhen mast ghzalon c
Sholey se bharaktey dil me, Uff wo aag ugaltey hont.

Uff wo jaaron ka mosam, wo barfon jesi tez hawa
Jaaney kia kia yaad dilayen, kaanptey or thiraktey hont.

Ik zara sa bus choo leney se aajiz jal kar khaak hoye
Aakhir kab tak dekhtey rehtey, us k angaaron jesey hont.






Romantic Poetry, Romantic Ghazal, Romantic Urdu Poetry, 
Romantic Urdu Sms, Urdu Sms, 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...