Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon, Urdu Sms, Heart Touching Urdu Sms, Latest Urdu Sms Poetry,


Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon
Mere saada dil tujh ko maghroor kar doon,

Tere dil ko milney ki khud aarzuu ho
Tujhe is qadar gham se ranjoor kar doon,

Mujhe zindagi door rakhti hai tujh se
Jo tu paas ho to usey door kar doon,

Mohabbat ke iqraar se sharam kab tak
Kabhi saamna ho to majboor kar doon,

Yeh be’rangiyan kab tak, ay hussan rangeen
Idhar aa tujhe ishq mein choor kar doon,

Tu agar samney ho to mein be’khudi mein
Sitaaron ko sajdey pe majboor kar doon,

Nahin zindagi ko wafaa warna Akhtar
Mohabbat se duniya ko mamoor kar doon.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...