Mery chaaron taraf hai dasht-e-be-paayan kahan ho tum


Mery chaaron taraf hai dasht-e-be-paayan kahan ho tum
Mery maathay pe bosa deni wali maa’n! kahan ho tum

Mujhy jhalsa rahi hai zindagi ki dhoop barson se
Meri umeed meri zeest ka saaman kahan ho tum

Kharaashain daal di hain dil k aainey pe duniya ne
Mery har dukh mery har dard ka dar-maan kahan ho tum

Mein thak k girney wala hun mujhy aaghosh mein lay lo
Taaqub mein hai mery gardish-e-dauraan kahan ho tum

Mery wo dost khush-qismat hain jin ki maeen zinda hain
Meri nazron mein saara sheher hai weeran kahan ho tum

Kahan ho tum ye dekho mera seena kitna ghayal hai
Mery zakhmon ko marham ki talab hai maan! kahan ho tum.




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...