Maayaar girta na doston ka na hum bhi dushman ki dahaal hotay
Zaeef dushman pay waar kartay to waqt k hum dajaal hotay
Nahin tha apna mizaaj aisa k zarf kho kar anaa bachatay
Warna aisay jawab detay k phir na paida sawaal hotay
Humari fitrat ko janta hai tabhi to dushman ye keh raha hai
Hai dushmani mein bhi zarf aisa jo dost hotay kamaal hotay
Jo aa k tum haal puch letay to itni lambi na umr lagti
K wasl ki ik ghari mein saray guzar gaye maah-o-saal hotay
Usay mubarik maqaam uncha sahi haqeeqat humein pata hai
Banatay rishton ki hum bhi seerhi to asmaan ki misaal hotay.
No comments:
Post a Comment