Ajeeb shakhs tha har ik se piyar mangta tha


Ajeeb shakhs tha har ik se piyar mangta tha
Jahan na dard ho aisa diyaar maangta tha

Jo mangta tha woh dena meri bisaat na thi
Woh meri rooh ka mujh se qarar mangta tha

Usay gharz thi na gulon se na bulbulon se zara
Woh fasl-e-ranj mein fasl-e-bahar mangta tha

Usay talab thi kay koi toot kr usay chahay
Woh haath jorr k ulfat ka izhaar mangta tha

Merey khuloos pey shayed tha shak usay
Wafa ki rah mein woh aitbaar mangta tha.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...