Sad Poetry, Sad Image Poetry, Sad Urdu Poetry, Best Poetry,


Andherey ghamon ke seher dhoondtey hain
Abhi tak khushi ka nagar dhoondtey hain

Khabar hai khushi ik siraab nazar hai
Nahin ab miley gi magar dhoondtey hain

Jahan barishon ne ujaarri hai basti
Ussi sheher mein apna ghar dhoondtey hain

Mittaa de jo barhti huyi talkhiyon ko
Jahan bhi miley woh nazar dhoontey hain

Laraztey huye meri palkon pe aansuu
Duyaaon mein apni assar dhoondtey hain

Mohabbat hai parwaaz se un ko Bushra
Aseeri mein jo baal-o-par dhoontey hain.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...