Hijar k Mousam mein ya Barish ka barsna kesa


Hijar k Mousam mein ya Barish ka barsna kesa
Ek sehra se samandar ka guzarna kesa

Aey mere DiL na pareshan ho tanha ho kar
Wo tere sath chala kab tha Bicharna kesa

Log kehte hain Gulshan ki tabahi dekho
Main to viran sa jangal tha Ujarna kesa

Dekhne mein to koi dard nahi Dukh bhi nahi
Phir ye Ankhon mein Yun Ashkon ka Ubharna kesa

Bewafa Kehne ki Jurrat bhi na karna usko
Us ne iqrar kiya kab tha mukarna kaisa.



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...