Best Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Image Poetry, Urdu Ghazal Poetry, Sad Urdu Poetry,


Mohabat kaisay mar jaye
badan main jo khoon ki manind
jo hai aik janoo ki manind
subha aur sham kay hr pal main
jo hai aik sakoon ki manind

Mohabat kaisay mar jaye
Woh rahti hai dua ban kar
Woh chalti hai hawa ban kar
Woh sumandar kay talatam main
Machalti hai wafa ban kar

Mohabat kaisay mar jaye
Woh sansoon kay sath chalti hai
Rang ban kar nikharti hai
Ghata ban kay woh cha jaye
Woh khushbo ban kay mahkati hai

Mohabat kaisy mar jaye
Woh ebadat meray rab say hai
Tahajud kay saray sajdoon main
Woh rafaqat hr aik shab say hai
Woh laboon pay vird karti hai
Mohabat kaisay mar jaye
Mohabat mar nahi sakti.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...