Tu Har Ek Baat Pe Hans Deti Hai, Ahmed Faraz urdu ghazals, Faraz Urdu Poetry,

Tu Har Ek Baat Pe Hans Deti Hai
Aur Mai Soch Mai Par Jata Hun

Yeh Teri Saada-O-Masoom Hansi
Aankh Ki Bhool, Sama’at Ka Fasoon

Teri Aadat, Tera Andaaz Na Ho
Be-Takalluf Tere Honton Ki Chatak

Meri Khush-Fehmi Ka Ejaaz Na Ho
Mai Saraabon Ko Bhi Dariya Samjhun

Tu Faqat Shauq Ki Parvaaz Na Ho
Tu Har Ek Baat Pe Hans Deti Hai

Aur Mai Soch Mai Par Jata Hun
Yeh Teri Saada-O-Be-Baak Hansi

Mai Jisey Khuwab Se Taabeer Karun
Wo Haqeeqat Mai Koi Raaz Na Ho

Tere Be-Saakhta Hansne Ki Adaa
Teri Tanhaai Ki Awaaz Na Ho

Mai Jisey Husn-E-Tabiyat Jaanun
Tere Jazbaat Ki Gham’maz Na Ho

Tu Har Ek Baat Pe Hans Deti Hai
Aur Mai Soch Mai Par Jata Hun

Yeh Teri Saada-O-Pur’kaar Hansi
Meri Duniya, Meri Hasti Ka Sukoon

Kisi Toofan Ka Aghaaz Na Ho
Mai Mohabbat Ki Talab Ka Maara

Tu Faqat Husn-E-Nazar’baaz Na Ho
Yeh Na Ho Mai To Soamber Jeetun
Aur Tere Qasr Ka Darbaar Na Ho.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...