Shab-e-hijraan ki aziyyat ki khabar kis ko hai


Shab-e-hijraan ki aziyyat ki khabar kis ko hai
Meir gumnaam muhabbat ki khabar kis ko hai,

Kis ko ehsas meri shedat-e-jazbaat ka hai
Meri halat meri wehshat ki khabar kis ko hai,

Kon weraan makanon ki khabar rakhta hai
Meri ujri hoi halat ki khabar kis ko hai,

Main nay chup chap muhabbat kay sitam jhailay hain
Meri iss darja sharaafat ki khabar kis ko hai,

Kon aaye ga ab aay dil tujh ko tasalli denay
Teri udas tabiyat ki khabar kis ko hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...