Kis tarah rokta hoon ashkoon ko

Kis tarah rokta hoon ashkoon ko
Kis tarah dil pe jabr karta hoon,

Aaj bhi kaar zaar-e-hasti mein
Jab tere shehar se guzarta hoon,

Dil bhi kartaa hai yaad chhup ke tujhe
Naam leti nahi zubaan tera,

Is qadar bhi nahin mujhe maloom
Kis muhalley mein hai makaan tera,

Koun si shaakh-e-gul pe raqsaan hai
Raqs-e-firdaus, aashyaan tera,

Jaaney kin vaadiyoon mein thehra hai
Ghairat-e-husn, karvaan tera,

Kis se puchoon ga mein khabar teri
Koun batlaaye ga nishaan tera,

Teri rusvaaiyoon se darta hoon
Jab tere shehar se guzarta hoon,

Haal-e-dil bhi na keh saka garchay
To rahi muddaton qareeb mere,

Kuch teri azmaton ka dar bhi tha
Kuch khayalat bhi thay ajeeb mere,

Aakhir-e-kar woh ghari aayi
Yar war ho gaye raqeeb mere,

Tu mujhe chor kar chali bhi gayi
Khair qismat meri naseeb mere,

Aab main kiyon tujh se piyar karta hoon
Jab tere shehar say guzarta hoon,

Wo zamana teri muhubat ka
Aik bholi hoi kahani hai,

Tere koochay main umr bhar na gaye
Sari duniya ki khaak chani hai,

Lazat-e-qurb ho keh zakhm-e-firaq
Jo bhi hai teri meharbani hai,

Kis tammana say tujh ko chaha tha
kis muhabbat say har mani hai,

Aapni qismat pay naz karta hoon
Jub tere shehar se guzarta hoon,

Aaj bhi karzar-e-hasti main
To agar aik bar mil jaye,

Kisi mehfil main saamna ho jaye
Ya sar-e-rahguzaar mil jaye,

Aik nazar daikh lain mohabbat say
Aik lamhay ka pyar mil jaye,

Chain aa jaye aarzoon ko
Hasraton ko qarar mil jaye,

Jane kiya kiya khayal karta hoon
Jab tere shehar se guzarta hoon,

Koi pursan-e-haal ho to kahon
Kesi aandhi chali hai tere baad,

Din guzara hai kis tarha main nai
Raat kese dhali hai tere baad,

Roz jeeta hon roz marta hoon
Jub tere shehar say guzarta hoon,

Tujh se koi gila nahi mujh ko
Main tujhe bewafa nahin kehta,

Tera milna khuab-o-khayal hua
Phir bhi na-aashna nahin kehta,

Wo jo kehta tha muh ko awara
Main us ko bhi bura nahin kehta,

Warna ik be nawa muhabbat main
Dil kay lutne pay kiya nahi kehta,

Main to mushkil say aah bharta hoon
Jub tere shehar say guzarta hoon.









No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...