Nahin nigaah mein manzil to justuju hi sahi

Nahin nigaah mein manzil to justuju hi sahi
Nahin visaal mayassar to aarzoo hi sahi,

Na tan mein khoon faraham na ashk aankhon mein
Namaaz-e-shauq to wajib hai be-wazu hi sahi,

Kisi tarah to jam-e-bazm maikade walo
Nahin jo baadaa-o-sagar to haa-o-hoo hi sahi,

Gar intezar kathin hai to jab talak aye dil
Kisi ke vada-e-farda ki guftagu hi sahi,

Dayaar-e-gair mein maharam agar nahin koi
To 'Faiz' zikr-e-watan apne ru ba ru hi sahi.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...