Khwabon Ko Asliat Mein Dekhna Abhi Baqi Hai

Khwabon Ko Asliat Mein Dekhna Abhi Baqi Hai
Zakhm-E-Dil-O-Tanhai Aazamana Abhi Baqi Hai,

Parda To Abhi Utha Hi Nahi Barkhudar
Aasman Se Bijli To, Abhi Girna Baqi Hai,

Nazaron Se Sawalon Ki Bauchar Abhi Baqi Hai
Jawab Dene Ki Mahirat Ki Imtihan Abhi Baqi Hai,

Jhuken Chahey Unki Ya Tumhari Nazar
Ek Ranjish Bhari Kayaamat Aani Abhi Baqi Hai,

Anaginat Masti Ke Jalwe Abhi Baqi Hai
Husn-Parasti Ka Sabaq Seekhna Abhi Baqi Hai,

Ginana To Hai Har Haal Mein – Kitne
Bit Gaye Din Kitne Guzaarnaa Baqi Hai,

Kya Naseehat Dun Mere Dost, Kuch Bhi Nahin Baqi Hai
Phir Na Kehna Duniyadari Ab Kya Dekhna Baqi Hai,

Armaan Ashkon Mein Ghul Gaye, Dil Bikhar Kar Chur ‘Satish’
Murda To Hum Kabke Bane, Faatiyaa Padhnaa Baqi Hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...