Faraz Poetry, Faraz Urdu Poetry,

Roog Aisay B Ghamm-e-Yaar Say Lag Jate Hain
Darr Say Uth'te Hain To Deewar Say Lag Jate Hain,

Ishq Aghaaz Main Hal'ki See Khalish Rakhta Hai
Baad Main Saink'roon Azaar Say Lag Jate Hain,


Pehlay Pehlay Hawas Ak Aah Dukaan Khulte Hai
Phir TO Bazar K Bazar Lag Jate Hain,

Bai'basee B Kabi Qurbat K Sabab Banti Hai
Roo Na Paa'ein To Galay Yaar Say Lag Jate Hain,


Qutar'ne Ghaam Ki Galiyoon Main Jo Oree Phirtee Hen
Ghar Main Lai Aoo To Ambaar Say Lag Jate Hain,


Daagh Daman K Hon Dil K Hon Ya Chahre K FARAZ
Kuch Nishaan Umer Ki Raftaar Say Lag Jate Hain.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...