Heart touching Urdu Poetry, Sad Poetry, Sadest Urdu Poetry, Sadest Pictures, Images Poetry,

Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus
Dil ne jhailay hain mohabbat mein wo azaar k bus,

Ek lamhay mein zamanay mere hathon se gaye
Es qadar taiz hui waqt ki raftaar k bus,

Tu kabhi rakh k humein dekh to bazaar k beech
Es tarha toot k aaein gay kharidaar k bus,

Kal bhi sadiyon ki musaafat pe kharray they donon
Darmiyaan aaj bhi parti hai wo deewar k bus,

Ye to ek zid hai k Mohsin main shikayat na kerun
Warna shikway to hain etnay mere yaar k bus.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...