Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Image Poetry, Urdu Image Ghazal, Sad Poetry, Urdu Sad Poetry, Heart Touching Poetry, Pashto Poetry, Pashto Image Poetry, Pashto Sad Poetry, Funny Images, Funny Poetry, etc..
Qateel Shifai, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry,
Roshan Woh Mera Gosha-e-Tanhai To Kar Jaye
Yaadoun Main Sahi,Anjuman Aarai To Kar Jaye
Yeh Meri Zamanat Hay Kah Paaye Ga Woh Shuhrat
Thori Si Woh Pehlay Meri ruswai To Kar Jaye
Kar Doun Main Usay Aqal K Mafhoom Say Waaqif
Kuch Din K Liye woh Mujhay Sodaai To Kar Jaye
Sab Kehtay Rahain Main Usay Qaatil Nah Kahun Ga
Lakin Woh Koi Kaar-e-Maseehai To Kar Jaye
Main Daikh Sakun Chehroun K Peechay Bhi Hay Kya Kuch
Itni C Ata Woh Mujhay Baynaai Kar Jaye
Main Kar to Sakun Jurm-e-Muhabbat Ki Wazahat
Phir Jo Woh Saza Day, Meri Shanwaai To Kar Jaaye
Hay Farz Qateel Us Pah Mera Jaan Chirakna
Par Woh Meri Kuch Hosla Afzaai To Kar Jaye.
Qateel Shifai, Qateel Shifai Poetry, Qateel Shifai Heart Touching Poetry, Urdu Ghazal By Qateel Shifai, Urdu Poetry, Urdu Ghazal,
Ham Sokhta Janoun Ki Khatir Aaraish Aarzo-o-Lab Hi Sahi
Jo Barsoun Tum Kar Nah Sakay,Woh Qatal K Saaman Ab Hi Sahi
Ae Baadah-e-Naab K Rakhwalay,Do Ghount Idhar Bhi Pohancha Day
Mayaar-e-Karam Is Mehfil Ka Paimana Naam-o-Nasab Hi Sahi
Jo Kuch Bhi Koi Kehta Hay Kahay,Izhar-e-Tamana To Ho Ga
Ham Ahl-e-Junoon Ki Batoun Main Kuch Pehlo-e-Sooye Adab Hi Sahi
Mojoud Hain Panchi Gulshan Main,Phir Kuin Hay Sakoot-e-Marg Yahan
Pur Shoor Tarano K Badlay Ek Naghmah Zair-e-Lab Hi Sahi
Apnay pah Bharosa Hay Jinko,Naghmat-e-Sehar Bhi Sun lain Gay
Kirnoun Ki Damakti Aahat Tak Naqqara Aakhir Shab Hi Sahi
Aalooda Zubaan Ho Jaye Gi,Insaaf Ki Meethi Boli Hay
Tum Apni Rawish Ko Mat Badlo, Ham Moorad-e-Qehr-o--Ghazab Hi Sahi
Daikha Hay Qateel Aakhir Sab Nay Is Shaukh Ko Bhi Maail-e-Bah Karam
Is Kaar-e-Numayaan K Peechay Gustakhiy-e-Dast-e-Talab Hi Sahi.
Qateel Shifai, Sad Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,
Door tak chhaaye thay baadal aor kahin saaya na tha
Is tarah barsaat ka mosam kabhi aaya na tha
Kaya mila aakhir tujhe,saayon k peechhe bhaag kar
Ae dil-e nadaa'n,tujhe kaya ham ne samjhaaya na tha
Uff ye sanaatta k aahat tak na ho jis main mukhal
Zindagi main is qadar ham ne sakoo'n paaya na tha
Khoob roye chhup k ghar ki chaar-diwaari main ham
Haal-e dil kehne k qaabil koi hamsaaya na tha
Ho gaye qalaash jab se aas ki dolat lutti
Paas apne,aor to koi bhi sarmaaya na tha
Wo payyambr ho k aashiq,qatal-gaah e shouq main
Taaj kaanton ka kise dunya ne pehnaaya na tha
Ab khula,jhonkon k peechhe chal rahi thi aandhiyan
Ab jo manzar ha wo pehle to nazar aaya na tha
Sirf khushbu ki kmi thi ghor k qaabil QATEEL
Warna gulshan main koi bhi phool murjhaaya na tha.
Qateel Shifai, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Romantic Ghazal, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,
Ek Baar Jo Tak Lay Usay Takta Hi Chala Jaye
Shola Sa Badan Uska Dehakta Hi Chala Jaye
Kardaar Ada Jab Main Karoun Baad-e-Saba Ka
Woh Phool Ki Maanind Mehakta Hi Chala Jaye
Haalaat Ki Bijli Nay Kiya Raakh Nasheman
Par Aas Ka Panchi Kah Chehakta Hi Chala Jaye
Aa Jayen Muyassar Jisay Aankhoun K Woh Saaghar
Woh Rind To Pii Pii K Behakta Hi Chala Jaye
Phooloun Ki Tawaqa Hay Nah Imkaan Samar Ka
Ek Pair Magar Phir Bhi Lehakta Hi Chala Jaye
Ham Laakh Muhazzab Houn Magar Tum Hi Batao
Jab Zabt Ka Paimana Chalakta Hi Chala Jaye
Har Gaam Pah Ilzaam Ab Bhi Hain Lakin
Un Paaoun Main Bichwa Jo Chanakta Hi Chala Jaye.
Qateel Shifai, Kahun Kya Fasana-e-Gham Isay koun Manta Hay
Kahun Kya Fasana-e-Gham Isay koun Manta Hay
Jo Guzar Rahi Hay Mujh Par Mera Dil Hi Janta Hay
To Saba Ka Hay Woh Jhonka Jo Guxar Gaya Chaman Say
Nah Woh Ronkain Hain Bakq Nah Kahein Sahanta Hay
Usay main Naseeb Janoun kah Bashar ki Khud Faraibi
Koi Bhar Rahay Daaman koi Khaak Chaanta Hay
Tera Youn Khyaal Aaya Mujhay Gham Ki Dopehar Main
Koi Jaisay Apna Aanchal Mere Sar Pah Taanta Hay
Main Nizam-e-Zar Ki Daiwi Say Qateel Aashna Houn
Kahein Naam Iska Bano, Kahein Chandar Kaanta Hay.
Aye Mere Fun Ke Paristar Tujhey Kia Malooom
Aye Mere Fun Ke Paristar Tujhey Kia Malooom
Kitney Dukh Sehta Hai "Funkar" Tujhey Kia Maloom
Kitni Raton Ka Lahu Pi Ke Nikharti Hai Ghazal
Kaise Hum Likhtey Hain Ashaar Tujhey Kia Maloom
Raat Jab Jashan-E-Chiraghan Mai Magan Thi Dunia
KOn Roya Pas-E-Deewar Tujhey Kia Maloom
Qadr-O-Qeemat Mere Dil Sokhta "Armano" Ki
Meri Khushiyon Ke Khareedar Tujhey Kia Maloom
Tu Tamashayi Nahi, Khail Mein Shamil Hai Magar
Tera Hai Kaunsa Kardaar Tujhe Kiya Ma'aloom.
Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho
Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Ker Sar Ko
Kitne Masoom Ho, Tasveer-e-Wafa Lagte Ho
Baat Karte Ho Tou Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho, Koyal Ki Sada Lagte Ho
Kis Taraf Jao ge Zulfon K yeh Baadal Le Ker
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghataa Lagte Ho
Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zaroorat Kya Hai
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho.
Heart Touching Urdu Poetry,
Jab bhi yaad aaye unhe ishq-e-mohabbat
Unki ankho me meri "tasveer" bana dena
Pholoon sa khushnuma har roj
Meri takdeer se unki takdeer saja dena
Unki palkein kabhi nam na ho
Unke hatho me aisi lakeer bana dena
Yaadein rulana bhi chahe kabhi bhari barsaat me
Mujhe hi unki ankho ka neer bana dena
Kam padi jo koi kushi, koi arzoo Unki
Mera sab unhe dekar mujhe fakeer bana dena.
Tujhe Chaha To Kya Khata Ki Hamne
Tujhe Chaha To Kya Khata Ki Hamne
Ek Tere Liye Duniya Bhula Di Hamne,
Tu Phir Bhi Rakhti Hai Shikayat Ham Se
Sajdon Main Tujhe Pane Ki Duaa Ki Hamne,
Jab Se Mila Tumhara Sath Hame
Tabse Har Tamanna Mita Di Hamne,
Ek Aadat Ho Gai Tumhe Yaad Karne Ki
Tere Liye To Apni Hasti Tak Ganwa Di Ham Ne.
Hamari Galtiyon Ko Bhulaate Rehna
Hamari Galtiyon Ko Bhulaate Rehna
Zindgi Bhar Ye Rishta Nibhaate Rehna,
Agar Hum Na Chal Sake Kabi Aapke Saath
To Aap Hi Kadam Se Kadam Milaate Rehna.
Woh aksar mujh sy kehti thi tumhain apna banao gi
Woh aksar mujh sy kehti thi tumhain apna banao gi
Mujhay tum sy muhabat hay ' Main Dunia ko bataon gi
woh aksar mujh sy kehti thi meri dunia hi bas tum ho
Woh aksar mujh say kehti thi wafa hay zaat aurat ki
Magar jo marad hoty hain bohat be-dard hoty hian
Kisi jugnu ki sorat Gul ki khushbo loot jaty hain
Suno tum ko qasam meri Riwayat toor dena tum
Na tanha choor kay jana Na ye dil toor kay jana
MAGAR... phir yun hoa 'AG' mujhy anjaan rasty per
Akela choor ker usne Mera dil toor ker usy
Muhabat choor di us nay, Muhabat choor di us nay
Mujhay pagal bana dala Mere dil ko jala dala
Wafa hay zaat Aurat ki Riwayat toor di us nay
Riwayat toor di us nay muhabat choor di us nay.
Meri zindgi ko ek tamasha bana diya usne
Meri zindgi ko ek tamasha bana diya usne
Bhari mehfil me tanha bitha diya usne
Aisi kya thi nafrat usko ik masoom dil se
Khushiya chura kar gham thama diya usne
Bahat naaz tha uski wafa pe kabhi humko
Mujhko hi meri nazron me gira diya usne
Khud bewafa tha meri wafa ki kya qadar karta
Anmol thi main khak me mila diya usne
Kisi ko yaad karna to uski fitrat me shamil hi nahi
Hawa ka jhooka samjh kar bhula dia usne.
Wo Choti Choti Baton Pe Ruth Jana
Wo Choti Choti Baton Pe Ruth Jana
Wo Ruthe Huye Ko Or Bhi Satana
Wo Kabhi Bhi Padh Kar Na Jana
Jo Teacher Puche To Topiyan Pehnana
Wo Class Mai Beth Kay Gappey Lagana
Wo Ek Dosre Ko Qisse Sunana
Na Hi Wo Din Rahenge Or Na Phir Laut
Kar Ayenge, Na Tafreeh, Na Wo Dost, Na Wo Batain
Agar Kuch Reh Jayega To Bus Yaadain.
Zakhmon Se Gosha-e-Dil-e-Veeran Saja Liya
Zakhmon Se Gosha-e-Dil-e-Veeran Saja Liya
Hum Nay Khizan Men Jashn-e-Baharan Mana Liya
Suraj Se Chaal Chal k Bayaban Ki Dhoop Ne
Ek Bay Kafan Darakht Ka Saya Chura Liya
Barbadiyon Ki Raat! Meri Bebasi To Dekh
Girtay Huay Makan Nay Mera Aasra Liya
Yaaron Ka Zikr Kiya k Wafa Ki Talash Men
Hum Nay To Dushmano Ko Bhi Dil Men Basa Liya
Aahat Suni Hawa Ki To Mohsin Nay Khauf Se
Jalta Huwa Diya Tah-e-Daama Chupa Liya.
Is soch mein baitha hun kya gham use pahuncha hai
Is soch mein baitha hun kya gham use pahuncha hai
bikhari hui zulfen hain utara hua chehara hain
jis phul ko titali ne chuma meri janib se
zalim ne us kali ko masala nahi raunda hain
halan ki pukara tha tum hi ne mujhe lekin
mahasus hua jaise koyal ne pukara hain
mud kar bhi nahi dekha jhonkon ke tarah us ne
wo mere barabar se hansata hua guzra hain.
I Have a big Question and i am hoping you can give me the answer
Boy : I Have a big Question and i am hoping
you can give me the answer
Girl: what is it ?
Boy: you see most part of our body has a pair right ?
without
each one our body is unbalanced !!
Example: hands, eyes, kidney etc…
Girl: so…whats the Question
Boy : The Question is…Can
I have Your Heart to pair with my heart ??
Because wothout You
“My Life is Unbalanced”
Zindagi Dard Ke Sholon Se Hawa Deti Hai,
Zindagi Dard Ke Sholon Se Hawa Deti Hai
Muhabbat Insan Ko Pagal Hi Bana Deti Hai
Bin Muhabbat Ke Koi Jee Nahi Sakta Yaron
Nafrat Basher Ko Ander Se Jala Deti Hai
Kyun Darte Nahi Log Mazloom ki Bad-Duaon Se
Bad-Dua Mazloom Ki Aasman Ko Bhi Hila Deti Hai
Muhababt Tere Bus Ki Baat Nahi Ae Mere Dost
Dunia Deewano Ko Diwaron Mai Chunwa Deti Hai.
Muhabbat Insan Ko Pagal Hi Bana Deti Hai
Bin Muhabbat Ke Koi Jee Nahi Sakta Yaron
Nafrat Basher Ko Ander Se Jala Deti Hai
Kyun Darte Nahi Log Mazloom ki Bad-Duaon Se
Bad-Dua Mazloom Ki Aasman Ko Bhi Hila Deti Hai
Muhababt Tere Bus Ki Baat Nahi Ae Mere Dost
Dunia Deewano Ko Diwaron Mai Chunwa Deti Hai.
Romantic Urdu Poetry,
Chehre Ki Haseen Muskurahat Choom Lene Do
Labon Ko Labon Ki Narmahat Choom Lene Do
Tum De Do Ijazat Mere Dil Ko Ek Gustakhi Ki
In Surkh Gaalon Ki Sharmahat Choom Lene Do
Ban Kar Zindagi Tum Aa Jao Meri Baahon Mein
Saason Ko Saason Ki Hararat Choom Lene Do
De Do Tumhare Saare Ranz-O-Gum Mujh Ko
Saari Pareshani, Har Shikayat Choom Lene Do
Tadapti Rahi Meri Mohabbat Teri Aarzoo Mein
Bas Aaj Is Dil Ko Apni Chahat Choom Lene Do.
Kabhi ansu, kabhi khushbu, kabhi nagma ban kar
Kabhi ansu, kabhi khushbu, kabhi nagma ban kar
Humse har shaam mili hai tera chehra ban kar
Chand nikla hai tere ankh ke ansu ki tarah
Phool mehke hai teri zulf ka saya ban kar
.
Meri jaagi hui raato ko usi ki hai talaash
So raha hai teri ankho me jo sapna ban kar
Dil ke kaghaz par utarta hai jo shero ki tarah
Mere honto par machalta hai jo nagma ban kar
.
Mera kya haal hai kabhi aa kar tu dekh to le
Jee raha hu tera bhula hua wada ban kar
Din ke ujale me bhi nahi bujhti tere chehre ki chamak
Rooh main phail gya hai jo ujala ban kar
.
Dhup me kho gya hai hath chura kar wo ajnabi
Ghar se sath chala tha jo mera saya ban kar
Kabhi ansu, kabhi khusbu, kabhi nagma ban kar
Humse har shaam mili hai tera chehra ban kar.
Gar Mere Bas Me Hota apna use banana
Gar Mere Bas Me Hota apna use banana
Main Lout Aata gar wapis Aana Mere Bas Me Hota
Main Unki Ankho me apni Surat Badal-Badal Kar jata
Agar un ke Khawabo Me Aana Jana Mere Bas Me Hota
Main apni Muskurahat se un ke Dil Ko Sajaye Rakta Hoon
Gar mere bas me hota mera Muskrana
Main is Duniya Se khatam Kar ke Rakh Deta hr Gum Ko
Har mehfil ko sajana gar Mere Bas Me Hota
Unke Qadmo Me Lakar main sare Taare Bekher Deta
In Taaro Ko Tod kar Lana Gar Mere Bas Me Hota
Main kabhi bhi na lau Naam Us Bewafa Ka is Lab Par
Gar pyaar Ko Bhulana is kadar Mere Bas Me Hota.
Subscribe to:
Posts (Atom)