Pages

Aashezi, Asheai Poetry, Urdu Poety, Pictures Poetry,

Aasheqi ka en dino urooj par hay kaam
Sochta hon zehar ki dhokan khol lon.

Qateel Shifai, Qateel Shifai Poetry, Qateel Shifai Urdu Poetry, Qateel Shifai Pictures Poetry,

Aajaye kisi din tu aisa bhi nahi lagtha
Lakin wo tera wada jhotta bhi nahi lagta 

Qateel Shifai

Qateel Shifai, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry,


Roshan Woh Mera Gosha-e-Tanhai To Kar Jaye
Yaadoun Main Sahi,Anjuman Aarai To Kar Jaye

Yeh Meri Zamanat Hay Kah Paaye Ga Woh Shuhrat
Thori Si Woh Pehlay Meri ruswai To Kar Jaye

Kar Doun Main Usay Aqal K Mafhoom Say Waaqif
Kuch Din K Liye woh Mujhay Sodaai To Kar Jaye

Sab Kehtay Rahain Main Usay Qaatil Nah Kahun Ga
Lakin Woh Koi Kaar-e-Maseehai To Kar Jaye

Main Daikh Sakun Chehroun K Peechay Bhi Hay Kya Kuch
Itni C Ata Woh Mujhay Baynaai Kar Jaye

Main Kar to Sakun Jurm-e-Muhabbat Ki Wazahat
Phir Jo Woh Saza Day, Meri Shanwaai To Kar Jaaye

Hay Farz Qateel Us Pah Mera Jaan Chirakna
Par Woh Meri Kuch Hosla Afzaai To Kar Jaye.

Qateel Shifai, Qateel Shifai Poetry, Qateel Shifai Heart Touching Poetry, Urdu Ghazal By Qateel Shifai, Urdu Poetry, Urdu Ghazal,


Ham Sokhta Janoun Ki Khatir Aaraish Aarzo-o-Lab Hi Sahi
Jo Barsoun Tum Kar Nah Sakay,Woh Qatal K Saaman Ab Hi Sahi

Ae Baadah-e-Naab K Rakhwalay,Do Ghount Idhar Bhi Pohancha Day
Mayaar-e-Karam Is Mehfil Ka Paimana Naam-o-Nasab Hi Sahi

Jo Kuch Bhi Koi Kehta Hay Kahay,Izhar-e-Tamana To Ho Ga
Ham Ahl-e-Junoon Ki Batoun Main Kuch Pehlo-e-Sooye Adab Hi Sahi

Mojoud Hain Panchi Gulshan Main,Phir Kuin Hay Sakoot-e-Marg Yahan
Pur Shoor Tarano K Badlay Ek Naghmah Zair-e-Lab Hi Sahi

Apnay pah Bharosa Hay Jinko,Naghmat-e-Sehar Bhi Sun lain Gay
Kirnoun Ki Damakti Aahat Tak Naqqara Aakhir Shab Hi Sahi

Aalooda Zubaan Ho Jaye Gi,Insaaf Ki Meethi Boli Hay
Tum Apni Rawish Ko Mat Badlo, Ham Moorad-e-Qehr-o--Ghazab Hi Sahi

Daikha Hay Qateel Aakhir Sab Nay Is Shaukh Ko Bhi Maail-e-Bah Karam
Is Kaar-e-Numayaan K Peechay Gustakhiy-e-Dast-e-Talab Hi Sahi.

Qateel Shifai, Sad Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,


Door tak chhaaye thay baadal aor kahin saaya na tha
Is tarah barsaat ka mosam kabhi aaya na tha

Kaya mila aakhir tujhe,saayon k peechhe bhaag kar
Ae dil-e nadaa'n,tujhe kaya ham ne samjhaaya na tha

Uff ye sanaatta k aahat tak na ho jis main mukhal
Zindagi main is qadar ham ne sakoo'n paaya na tha

Khoob roye chhup k ghar ki chaar-diwaari main ham
Haal-e dil kehne k qaabil koi hamsaaya na tha

Ho gaye qalaash jab se aas ki dolat lutti
Paas apne,aor to koi bhi sarmaaya na tha

Wo payyambr ho k aashiq,qatal-gaah e shouq main
Taaj kaanton ka kise dunya ne pehnaaya na tha

Ab khula,jhonkon k peechhe chal rahi thi aandhiyan
Ab jo manzar ha wo pehle to nazar aaya na tha

Sirf khushbu ki kmi thi ghor k qaabil QATEEL
Warna gulshan main koi bhi phool murjhaaya na tha.

Qateel Shifai, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Romantic Ghazal, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,


Ek Baar Jo Tak Lay Usay Takta Hi Chala Jaye
Shola Sa Badan Uska Dehakta Hi Chala Jaye

Kardaar Ada Jab Main Karoun Baad-e-Saba Ka
Woh Phool Ki Maanind Mehakta Hi Chala Jaye

Haalaat Ki Bijli Nay Kiya Raakh Nasheman
Par Aas Ka Panchi Kah Chehakta Hi Chala Jaye

Aa Jayen Muyassar Jisay Aankhoun K Woh Saaghar
Woh Rind To Pii Pii K Behakta Hi Chala Jaye

Phooloun Ki Tawaqa Hay Nah Imkaan Samar Ka
Ek Pair Magar Phir Bhi Lehakta Hi Chala Jaye

Ham Laakh Muhazzab Houn Magar Tum Hi Batao
Jab Zabt Ka Paimana Chalakta Hi Chala Jaye

Har Gaam Pah Ilzaam Ab Bhi Hain Lakin
Un Paaoun Main Bichwa Jo Chanakta Hi Chala Jaye.

Qateel Shifai, Kahun Kya Fasana-e-Gham Isay koun Manta Hay


Kahun Kya Fasana-e-Gham Isay koun Manta Hay
Jo Guzar Rahi Hay Mujh Par Mera Dil Hi Janta Hay

To Saba Ka Hay Woh Jhonka Jo Guxar Gaya Chaman Say
Nah Woh Ronkain Hain Bakq Nah Kahein Sahanta Hay

Usay main Naseeb Janoun kah Bashar ki Khud Faraibi
Koi Bhar Rahay Daaman koi Khaak Chaanta Hay

Tera Youn Khyaal Aaya Mujhay Gham Ki Dopehar Main
Koi Jaisay Apna Aanchal Mere Sar Pah Taanta Hay

Main Nizam-e-Zar Ki Daiwi Say Qateel Aashna Houn
Kahein Naam Iska Bano, Kahein Chandar Kaanta Hay.

Tanhai, Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,

Main tanhai ko tanhai main tanha kaise chorr do ?
Es tanhai ne tanhai main tanha mera sath diya hay.

Kitna Samjhaya Dil Ko Ki Tu Pyaar Na Kar, Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Urdu Poetry, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry,


Kitna Samjhaya Dil Ko Ki Tu Pyaar Na Kar
Kisi Ke Pyaar Me Khud Ko Bekrar Naa Kar

Wo Tera Nahi Hai Naadan O Pagal
Kisi or Ki Amanat Ka Intzaar Naa Kar.

Mirza Ghalib, Mirza Ghalib Poetry, Ghalib Poetry,

Mirza Ghalib, Mirza Ghalib Poetry, Ghalib Poetry,

Aye Mere Fun Ke Paristar Tujhey Kia Malooom


Aye Mere Fun Ke Paristar Tujhey Kia Malooom
Kitney Dukh Sehta Hai "Funkar" Tujhey Kia Maloom

Kitni Raton Ka Lahu Pi Ke Nikharti Hai Ghazal
Kaise Hum Likhtey Hain Ashaar Tujhey Kia Maloom

Raat Jab Jashan-E-Chiraghan Mai Magan Thi Dunia
KOn Roya Pas-E-Deewar Tujhey Kia Maloom

Qadr-O-Qeemat Mere Dil Sokhta "Armano" Ki
Meri Khushiyon Ke Khareedar Tujhey Kia Maloom

Tu Tamashayi Nahi, Khail Mein Shamil Hai Magar
Tera Hai Kaunsa Kardaar Tujhe Kiya Ma'aloom.

Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho


Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho

Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Ker Sar Ko
Kitne Masoom Ho, Tasveer-e-Wafa Lagte Ho

Baat Karte Ho Tou Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho, Koyal Ki Sada Lagte Ho

Kis Taraf Jao ge Zulfon K yeh Baadal Le Ker
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghataa Lagte Ho

Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zaroorat Kya Hai
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho.

Heart Touching Urdu Poetry,


Jab bhi yaad aaye unhe ishq-e-mohabbat
Unki ankho me meri "tasveer" bana dena

Pholoon sa khushnuma har roj
Meri takdeer se unki takdeer saja dena

Unki palkein kabhi nam na ho
Unke hatho me aisi lakeer bana dena

Yaadein rulana bhi chahe kabhi bhari barsaat me
Mujhe hi unki ankho ka neer bana dena

Kam padi jo koi kushi, koi arzoo Unki
Mera sab unhe dekar mujhe fakeer bana dena.

Muhabbat islye bhi munfarid hai sub khelon se


Muhabbat islye bhi munfarid hai sub khelon se
Jo haara phir nahi khela, jo jeeta usne tauba ki..

Manzilain bhi uski thi Rasta bhi uska tha


Manzilain bhi uski thi Rasta bhi uska tha
Ek main akela tha Kafila bhi uska tha

Sath-Sath chalne ki soch bhi uski thi
Phir raasta badalne ka faisla bhi uska tha

Aaj kyun akela hoon Dil sawal karta hai
Log to uske the Kya KHUDA bhi uska tha.

Tujhe Chaha To Kya Khata Ki Hamne


Tujhe Chaha To Kya Khata Ki Hamne
Ek Tere Liye Duniya Bhula Di Hamne,
Tu Phir Bhi Rakhti Hai Shikayat Ham Se
Sajdon Main Tujhe Pane Ki Duaa Ki Hamne,
Jab Se Mila Tumhara Sath Hame
Tabse Har Tamanna Mita Di Hamne,
Ek Aadat Ho Gai Tumhe Yaad Karne Ki
Tere Liye To Apni Hasti Tak Ganwa Di Ham Ne.

Hamari Galtiyon Ko Bhulaate Rehna


Hamari Galtiyon Ko Bhulaate Rehna
Zindgi Bhar Ye Rishta Nibhaate Rehna,
Agar Hum Na Chal Sake Kabi Aapke Saath
To Aap Hi Kadam Se Kadam Milaate Rehna.

Woh aksar mujh sy kehti thi tumhain apna banao gi


Woh aksar mujh sy kehti thi tumhain apna banao gi
Mujhay tum sy muhabat hay ' Main Dunia ko bataon gi

woh aksar mujh sy kehti thi meri dunia hi bas tum ho
Woh aksar mujh say kehti thi wafa hay zaat aurat ki

Magar jo marad hoty hain bohat be-dard hoty hian
Kisi jugnu ki sorat Gul ki khushbo loot jaty hain

Suno tum ko qasam meri Riwayat toor dena tum
Na tanha choor kay jana Na ye dil toor kay jana

MAGAR... phir yun hoa 'AG' mujhy anjaan rasty per
Akela choor ker usne Mera dil toor ker usy

Muhabat choor di us nay, Muhabat choor di us nay
Mujhay pagal bana dala Mere dil ko jala dala

Wafa hay zaat Aurat ki Riwayat toor di us nay
Riwayat toor di us nay muhabat choor di us nay.

Meri zindgi ko ek tamasha bana diya usne


Meri zindgi ko ek tamasha bana diya usne
Bhari mehfil me tanha bitha diya usne

Aisi kya thi nafrat usko ik masoom dil se
Khushiya chura kar gham thama diya usne

Bahat naaz tha uski wafa pe kabhi humko
Mujhko hi meri nazron me gira diya usne

Khud bewafa tha meri wafa ki kya qadar karta
Anmol thi main khak me mila diya usne

Kisi ko yaad karna to uski fitrat me shamil hi nahi
Hawa ka jhooka samjh kar bhula dia usne.

Wo Choti Choti Baton Pe Ruth Jana



Wo Choti Choti Baton Pe Ruth Jana
Wo Ruthe Huye Ko Or Bhi Satana
Wo Kabhi Bhi Padh Kar Na Jana
Jo Teacher Puche To Topiyan Pehnana
Wo Class Mai Beth Kay Gappey Lagana
Wo Ek Dosre Ko Qisse Sunana
Na Hi Wo Din Rahenge Or Na Phir Laut
Kar Ayenge, Na Tafreeh, Na Wo Dost, Na Wo Batain
Agar Kuch Reh Jayega To Bus Yaadain.

Zakhmon Se Gosha-e-Dil-e-Veeran Saja Liya


Zakhmon Se Gosha-e-Dil-e-Veeran Saja Liya
Hum Nay Khizan Men Jashn-e-Baharan Mana Liya

Suraj Se Chaal Chal k Bayaban Ki Dhoop Ne
Ek Bay Kafan Darakht Ka Saya Chura Liya

Barbadiyon Ki Raat! Meri Bebasi To Dekh
Girtay Huay Makan Nay Mera Aasra Liya

Yaaron Ka Zikr Kiya k Wafa Ki Talash Men
Hum Nay To Dushmano Ko Bhi Dil Men Basa Liya

Aahat Suni Hawa Ki To Mohsin Nay Khauf Se
Jalta Huwa Diya Tah-e-Daama Chupa Liya.

Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Romantic Poetry,


Meri Muhbbat He Wo Koi Majboori To Nahi
Wo Mujhy Chahy Ya Mil Jaae Zaroori To Nahi
Ye Kuch Kam Hai K Basa Hai Meri Sanson Me
Wo Samny Ho Meri Ankon K Zroori to nahi
Ab To Nikal K Ankhon Se Yaadon Me Ja Basa He Wo
Yehi He Qurbat-e-Chahat Koi Doori To Nahi.

Bahana kyon talash karte hon,

Bahana kyon talash karte hon masroof honay ka Ae dost
Bus itna he keh diya karo k aab dil main jaga nahi rahi aap k liye.

Ghalib Poetry, Mirza Ghalib Poetry, Mirza Ghalib Urdu Poetry,

Bana kar faqeeron ka hum bhais GHALIB
Tamasha e aihle karam daikthay hain.

Pyaas kehti hay, Sad Urdu Poetry, Urdu Images Poetry, Urdu Poetry Pictures, Heart Touching Poetry,

Pyaas kehti hay k ab rait nachorri jaye 
Apnay hissay main samandar nahi ane wala.

Allama Iqbal Pictures Poetry, Allama Iqbal Poetry, Urdu Poetry By Iqbal,

Teri rehmato pe munhasirm mere har amal ki qaboliyat 
Na mujhay saleeqa e ilteja, na mujhay shaoor e namaz hay.

Urdu Pictures Poetry, Urdu Pictures Poetry Collection,

 Aaj tak dil ko us k lott aanay ki umeed 
Aaj tak tehri howi hay zindagi apni jaga

 Us ka mayaar abhi mujh se juda hay lakin 
Wo bhi bikhray ga tu hojayega mere jaisa

Maloom hota hy bholl gaye ho shaid
Ya phir kaal ka sabar rakthay hon.

Har Kadam Pe Tera Dhyan Hai Aata


Har Kadam Pe Tera Dhyan Hai Aata
Har Wajah Pe Tera Naam Hai Aata
Pyar Hi Itna Karte Hain Tum Se
Ke Tum Bin Ab To Raha Na Jata.

Kitni Raatein Beet Gayee'n,


Kitni Raatein Beet Gayee'n, Kitnay Din Beet Gaye
Bas Beeta Nahin To Yaadon Ka Woh Pal,
Woh Guzra Hua Kal, Beeti Nahin To
Aankhon Ki Nami,"Aur Teri Kami".

Is soch mein baitha hun kya gham use pahuncha hai


Is soch mein baitha hun kya gham use pahuncha hai
bikhari hui zulfen hain utara hua chehara hain

jis phul ko titali ne chuma meri janib se
zalim ne us kali ko masala nahi raunda hain

halan ki pukara tha tum hi ne mujhe lekin
mahasus hua jaise koyal ne pukara hain

mud kar bhi nahi dekha jhonkon ke tarah us ne
wo mere barabar se hansata hua guzra hain.

He Meri Zaat Se Mansoob Sab Fasana e Ishq


He Meri Zaat Se Mansoob Sab Fasana e Ishq
Aur Aik Satar Bhi Ab Tak Nahen Likhi Me Ne

Tere Adam Ko Ganwara Na Tha Wajood Mera
So Apni Beekh Kani Me Na Ki Kami Me Ne

Dawa Se Faida Maqsod Tha Hi Kab , K Faqat
Dawa K Shoq Me Sehat Tabaah Ki Me Ne.

I Have a big Question and i am hoping you can give me the answer


Boy : I Have a big Question and i am hoping
     you can give me the answer

Girl: what is it ?

Boy:  you see most part of our body has a pair right ?
      without
      each one our body is unbalanced !!

Example: hands, eyes, kidney etc…

Girl: so…whats the Question

Boy : The Question is…Can
      I have Your Heart to pair with my heart ??
      Because wothout You
     “My Life is Unbalanced”

Acha Hua Maloom Ho Gaya


Acha Hua Maloom Ho Gaya
Apno Ki Mohabbat Ab Mohabbat Nahi Rahi

Warna Hum Toh Apna Ghar Bhi Chod Rahe The
Unke Dil Main Rehne Ke Liye.

Zara Sa Maan Rakh Lena,


Zara Sa Maan Rakh Lena K Tum Meri Mohabbat Ho
Sitam Tum Soch Kar Karna K tum Meri Mohabbat Ho

Agar Jaane Ki Zid Hai To Chale Jao , Magar Sun Lo
K Jaldi Loat K Aana K Tum Meri Mohabbat Ho

Main Mit Jaon Ga Duniya Se Mujhe Dil Se Mitana Mat
Sada Dil Main Mujhe Rakhna K Tum Meri Mohabbat Ho.

Majburi mein jab koi juda hota hai,


Majburi mein jab koi juda hota hai,
Zaruri nahi ki wo bewafa hota hai

Dekh Kar wo Aapki Aankho mein Aansu
Akele mein Aap se bhi Jyada rota hai.

Zindagi Dard Ke Sholon Se Hawa Deti Hai,


Zindagi Dard Ke Sholon Se Hawa Deti Hai
Muhabbat Insan Ko Pagal Hi Bana Deti Hai

Bin Muhabbat Ke Koi Jee Nahi Sakta Yaron
Nafrat Basher Ko Ander Se Jala Deti Hai

Kyun Darte Nahi Log Mazloom ki Bad-Duaon Se
Bad-Dua Mazloom Ki Aasman Ko Bhi Hila Deti Hai

Muhababt Tere Bus Ki Baat Nahi Ae Mere Dost
Dunia Deewano Ko Diwaron Mai Chunwa Deti Hai.

Ishq, Ishq Poetry, Urdu Poetry About Ishq,


Tune Haseen Se Haseen Cehre Ko Udash Kiya Hai Aye ISHQ
Tu Agar INSAAN Hota To Tera Pehla Katil Mai Hota.

Tujh py khul jati meri rooh li tanhai

Tujh py khul jati meri rooh li tanhai
meri ankhon mai kabi jhank ky dekha hota.

Meri yadoon sy bach nikly, to wada hai mera tujh sy

Meri yadoon sy bach nikly, to wada hai mera tujh sy
mai khud duniya sy keh don gi, kami meri wafa mai thi.

Kisi masoom lamhy mai kisi manoos chehry sy

Kisi masoom lamhy mai kisi manoos chehry sy
Muhabbat ki nahi jati muhabbat ho jati hai.

Romantic Urdu Poetry,


Chehre Ki Haseen Muskurahat Choom Lene Do
Labon Ko Labon Ki Narmahat Choom Lene Do

Tum De Do Ijazat Mere Dil Ko Ek Gustakhi Ki
In Surkh Gaalon Ki Sharmahat Choom Lene Do

Ban Kar Zindagi Tum Aa Jao Meri Baahon Mein
Saason Ko Saason Ki Hararat Choom Lene Do

De Do Tumhare Saare Ranz-O-Gum Mujh Ko
Saari Pareshani, Har Shikayat Choom Lene Do

Tadapti Rahi Meri Mohabbat Teri Aarzoo Mein
Bas Aaj Is Dil Ko Apni Chahat Choom Lene Do.

Kabhi ansu, kabhi khushbu, kabhi nagma ban kar


Kabhi ansu, kabhi khushbu, kabhi nagma ban kar
Humse har shaam mili hai tera chehra ban kar
Chand nikla hai tere ankh ke ansu ki tarah
Phool mehke hai teri zulf ka saya ban kar
.
Meri jaagi hui raato ko usi ki hai talaash
So raha hai teri ankho me jo sapna ban kar
Dil ke kaghaz par utarta hai jo shero ki tarah
Mere honto par machalta hai jo nagma ban kar
.
Mera kya haal hai kabhi aa kar tu dekh to le
Jee raha hu tera bhula hua wada ban kar
Din ke ujale me bhi nahi bujhti tere chehre ki chamak
Rooh main phail gya hai jo ujala ban kar
.
Dhup me kho gya hai hath chura kar wo ajnabi
Ghar se sath chala tha jo mera saya ban kar
Kabhi ansu, kabhi khusbu, kabhi nagma ban kar
Humse har shaam mili hai tera chehra ban kar.

Rehman Baba Poetry, Rehman Baba, Pashto Great Poet Rehman Baba Poetry,


Da wisaal pa hawaa walwatay margha shwey
Da hijraan pa aur k drast surat oba shwey

Za Rahman pa da mamla ke haq hairaan yam
Na pohegam che da yaar la ghama sa shwe.

Gar Mere Bas Me Hota apna use banana


Gar Mere Bas Me Hota apna use banana
Main Lout Aata gar wapis Aana Mere Bas Me Hota

Main Unki Ankho me apni Surat Badal-Badal Kar jata
Agar un ke Khawabo Me Aana Jana Mere Bas Me Hota

Main apni Muskurahat se un ke Dil Ko Sajaye Rakta Hoon
Gar mere bas me hota mera Muskrana

Main is Duniya Se khatam Kar ke Rakh Deta hr Gum Ko
Har mehfil ko sajana gar Mere Bas Me Hota

Unke Qadmo Me Lakar main sare Taare Bekher Deta
In Taaro Ko Tod kar Lana Gar Mere Bas Me Hota

Main kabhi bhi na lau Naam Us Bewafa Ka is Lab Par
Gar pyaar Ko Bhulana is kadar Mere Bas Me Hota.

Yu to khamosh hi rehti hai aankhe


Yu to khamosh hi rehti hai aankhe
Agar samajh sako to bahut kuch Kehti hai aankhe

Kaun kehta hai ki roti hai aankhe
Rota to Dil hai magar kehti hai aankhe.

Aaj meri zindagi ka faisla ho kar rahega


Aaj meri zindagi ka faisla ho kar rahega
Hasegi aaj raat ya chand ro kar rahega

Kehna hoga abhi unko sab kuch
Tutega mera Dil ya unka Dil mera ho kar rahega.

Tu jo badal gya to badal gaye hum bhi


Tu jo badal gya to badal gaye hum bhi
Mohabbat ki thi koi bandagi to nahi

Waqt to kat hi jayega har soorat me
Tu koi shart-e-zindagi to nahi.