Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Image Poetry, Urdu Image Ghazal, Sad Poetry, Urdu Sad Poetry, Heart Touching Poetry, Pashto Poetry, Pashto Image Poetry, Pashto Sad Poetry, Funny Images, Funny Poetry, etc..
Mere baad kidhar jaayegii tanhai

Mere baad kidhar jaayegii tanhai
main jo maraa to mar jaayegii tanhai
main jab ro ro ke dariyaa ban jaunga
us din paar utar jaayegii tanhai
tanhai ko ghar se ruKhsat kar to do
socho kis ke ghar jaayegii tanhai
viiraanaa huuN aabaadii se aayaa huN
dekhegii mujhe to Dar jaayegii tanhai
yn aao ki paaon ki bhi awaz na ho
shor hua to mar jaayegi tanhai.
Woh Meri Thi Yeh Batana Ajeeb Lagta Hai

Woh Meri Thi Yeh Batana Ajeeb Lagta Hai
Ab Us Se Aankh Milana Ajeeb Lagta Hai
Jo Zindagi Me Kabhi Bhi Mera Ho Na Paya
Ab Us Ka Khwaab Me Aana Ajeeb Lagta Hai
Bade Khuloos Se Dawat To Us Ne Bheji Hai
Par Us Ki Mehfil Mai Jana Ajeeb Lagta Hai
Tha Jis Ka Haath Hamesha Hamare Haathoo Me
Ab Us Se Haath Milana Ajeeb Lagta Hai
Dil Main Ab Yun Teray Bhoolay Huway Ghum Yaad Atay Hain
Jaisay Bichray Huway Sanum Kabay Main Atay Hain
Ek Ek Kar K Huey Jatay Hain Taray Roshan
Meri Manzil Kie Taraf Teray Kadum Atay Hain
Raqs E Main Teez Karoo Saaz Kie Lay Teez Karoo
Su E May Khana E Harum Atay Hain
Ek Humein Ko Nahin Ehsan Uthany Ko Damaagh
Woh Tu Jub Atay Hain Mael E Ba Karam Atay Hain
Kuch Deer Aur Na Guzray Shab E Furqat Say Kaho
Dil Bhi Dhukta Hai Aur Yaad Bhi Kum Atie Hain.
Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar

Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar
Phoot ker rone lage hain
mai muhabbat aur tum
Hum ney joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb
Raastey khone lage hain
mai muhabbat aur tum
Chaand ki kirno ne humko is tarah bosa diya
Devta hone lage hain
mai muhabbat aur tum
Aaj phir mehroomiyon ki daastane orh ker
Khak mai sone lage hain
mai muhabbat aur tum
Kho gaye andaaz bhi awaz bhi alfaz bhi
Khamshi dhone lage hain
mai muhabbat aur tum.
Subscribe to:
Posts (Atom)



